Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is ishq o junun mein na gareban ka Dar hai

Mushafi Ghulam Hamdani

is ishq o junun mein na gareban ka Dar hai

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    is ishq o junūñ meñ na garebān Dar hai

    ye ishq vo hai jis meñ hameñ jaan Dar hai

    āsāñ nahīñ dariyā-e-mohabbat se guzarnā

    yaañ nuuh kashtī ko bhī tūfān Dar hai

    bāzār se guzre hai vo be-parda ki us ko

    hindū na ḳhatra na musalmān Dar hai

    dil ḳhuun maiñ taḌpe hai tire tīr-e-nigah se

    par us pe bhī zālim tire paikān Dar hai

    darbān bhī yaañ kachche ghaḌe paanī bhare hai

    vo haiñ hamīñ yaañ jin ko ki darbān Dar hai

    vo shoḳh kahīñ vaqt-e-namāz aan na nikle

    ai 'mus.hafī' mujh ko usī shaitān Dar hai

    is ishq o junun mein na gareban ka Dar hai

    ye ishq wo hai jis mein hamein jaan ka Dar hai

    aasan nahin dariya-e-mohabbat se guzarna

    yan nuh ki kashti ko bhi tufan ka Dar hai

    bazar se guzre hai wo be-parda ki us ko

    hindu ka na KHatra na musalman ka Dar hai

    dil KHun main taDpe hai tere tir-e-nigah se

    par us pe bhi zalim tere paikan ka Dar hai

    darban bhi yan kachche ghaDe pani bhare hai

    wo hain hamin yan jin ko ki darban ka Dar hai

    wo shoKH kahin waqt-e-namaz aan na nikle

    ai 'mushafi' mujh ko usi shaitan ka Dar hai

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 275)

    • Author: Ghulam hamdani Mashafi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Qaumi council baraye -farogh urdu
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now