Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo husn-e-kul ki dalil tha wo KHayal aa ke saja gaya

Afeef Siraj

wo jo husn-e-kul ki dalil tha wo KHayal aa ke saja gaya

Afeef Siraj

MORE BYAfeef Siraj

    vo jo husn-e-kul dalīl thā vo ḳhayāl aa ke sajā gayā

    laḌīñ yuuñ nigāh se bijliyāñ koī jaise parde uThā gayā

    maiñ hikāyat-e-dil-e-be-navā meñ ishārat-e-ġham-e-jāvidāñ

    maiñ vo harf-e-āḳhir-e-motabar jo likhā gayā na paḌhā gayā

    maiñ charāġh-e-hasrat-e-nīm-shab meñ sharār-e-ātish-e-jāñ-ba-lab

    dil-e-pur-umīd lau thā maiñ mujhe ḳhud vo aa ke bujhā gayā

    maiñ ġhubār-e-rāh-e-talab rahā huā dar-ba-dar jo chalī havā

    maiñ ujaḌ ke jab huā mutma.in to vo mujh ko dil meñ basā gayā

    pas-e-parda dil rafīq thā sar-e-parda merā raqīb thā

    maiñ miyān-e-radd-o-qubūl thā ki vo aa ke parda haTā gayā

    mujhe fikr thī mirī zaat par koī rañg bhī na chaḌhe magar

    vo kamāl-e-ġhairat-e-ā.ina mirā aks mujh ko dikhā gayā

    mirā dil amiiñ thā nigāh thī nigāh mahram-e-tajraba

    vo fusūn-e-jalvā aabrū mire tajraboñ ko miTā gayā

    wo jo husn-e-kul ki dalil tha wo KHayal aa ke saja gaya

    laDin yun nigah se bijliyan koi jaise parde uTha gaya

    main hikayat-e-dil-e-be-nawa mein ishaarat-e-gham-e-jawidan

    main wo harf-e-aKHir-e-motabar jo likha gaya na paDha gaya

    main charagh-e-hasrat-e-nim-shab mein sharar-e-atish-e-jaan-ba-lab

    dil-e-pur-umid ki lau tha main mujhe KHud wo aa ke bujha gaya

    main ghubar-e-rah-e-talab raha hua dar-ba-dar jo chali hawa

    main ujaD ke jab hua mutmain to wo mujh ko dil mein basa gaya

    pas-e-parda dil ka rafiq tha sar-e-parda mera raqib tha

    main miyan-e-radd-o-qubul tha ki wo aa ke parda haTa gaya

    mujhe fikr thi meri zat par koi rang bhi na chaDhe magar

    wo kamal-e-ghairat-e-aina mera aks mujh ko dikha gaya

    mera dil amin tha nigah ka thi nigah mahram-e-tajraba

    wo fusun-e-jalwa ki aabru mere tajrabon ko miTa gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now