chand ki kagar raushan
chāñd kī kagar raushan
shab ke bām-o-dar raushan
ik lakīr bijlī kī
aur rahguzar raushan
uḌte phirte kuchh jugnū
raat idhar udhar raushan
raat kaun aayā thā
kar gayā sahar raushan
phuul qumqumoñ jaise
titliyoñ ke par raushan
laḌkiyoñ se galiyārī
khiḌkiyoñ se ghar raushan
apne-āp ko yā-rab
ab to ham pe kar raushan
maiñ daraḳht andhā huuñ
de mujhe samar raushan
sher mat sunā 'alvī'
dāġh-e-dil na kar raushan
chand ki kagar raushan
shab ke baam-o-dar raushan
ek lakir bijli ki
aur rahguzar raushan
uDte phirte kuchh jugnu
raat idhar udhar raushan
raat kaun aaya tha
kar gaya sahar raushan
phul qumqumon jaise
titliyon ke par raushan
laDkiyon se galiyari
khiDkiyon se ghar raushan
apne-ap ko ya-rab
ab to hum pe kar raushan
main daraKHt andha hun
de mujhe samar raushan
sher mat suna 'alwi'
dagh-e-dil na kar raushan
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 102)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.