aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil hi mera faqat hai matlab ka

Sakhi Lakhnvi

dil hi mera faqat hai matlab ka

Sakhi Lakhnvi

MORE BYSakhi Lakhnvi

    dil merā faqat hai matlab

    jigar bhī hai aap ke Dhab

    qais o farhād se maiñ huuñ vāqif

    ho chukā hai muqābla sab

    khaa.ī hai ik na.ī miThā.ī aaj

    bosa paayā hai yaar ke lab

    mai-kade meñ sharāb piite haiñ

    ye patā hai hamāre mashrab

    shii.a sunnī meñ to bakheḌe haiñ

    naam luuñ kis ke aage maz.hab

    malak-ul-maut se kaho phir jaa.eñ

    jīte-jī mar chukā huuñ maiñ kab

    aap farmā.eñ hijr ahvāl

    maiñ karūñ zikr vasl shab

    sub.h ko jhoñke niiñd ke kaise

    kahīñ jaagā huā hai shab

    us ke kūcha bhiik chāhte haiñ

    shauq jāgīr na mansab

    rahe din bhar vo mudda.ī mere

    yaad kar ke muāmla shab

    barg-e-gul aa maiñ tere bose luuñ

    tujh meñ hai Dhañg yaar ke lab

    naqd-e-dil detā huuñ to kahte haiñ

    vaah aisā 'saḳhī' hai kab

    dil hi mera faqat hai matlab ka

    ya jigar bhi hai aap ke Dhab ka

    qais o farhad se main hun waqif

    ho chuka hai muqabla sab ka

    khai hai ek nai miThai aaj

    bosa paya hai yar ke lab ka

    mai-kade mein sharab pite hain

    ye pata hai hamare mashrab ka

    shia sunni mein to bakheDe hain

    nam lun kis ke aage mazhab ka

    malak-ul-maut se kaho phir jaen

    jite-ji mar chuka hun main kab ka

    aap farmaen hijr ka ahwal

    main karun zikr wasl ki shab ka

    subh ko jhonke nind ke kaise

    kahin jaga hua hai tu shab ka

    us ke kucha ki bhik chahte hain

    shauq jagir ka na mansab ka

    rahe din bhar wo muddai mere

    yaad kar ke muamla shab ka

    barg-e-gul aa main tere bose lun

    tujh mein hai Dhang yar ke lab ka

    naqd-e-dil deta hun to kahte hain

    wah aisa 'saKHi' hai tu kab ka

    Source:

    Deewan-e-Sakhi(Naghma-e-Hazar) (Pg. ebook-18 page-9)

    • Author: Sakhi Lakhnvi
      • Edition: 1882
      • Publisher: Daruttaba Bandobast, Hyderabad
      • Year of Publication: 1882
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now