Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dud-e-atish ki tarah yan se na Tal jaunga

Jurat Qalandar Bakhsh

dud-e-atish ki tarah yan se na Tal jaunga

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    dūd-e-ātish tarah yaañ se na Tal jā.ūñgā

    sham.a-sāñ mahfil-e-jānāñ meñ jal jā.ūñgā

    duur se bhī use dekhūñ to ye chitvan meñ kahe

    aa ke diide abhī talvoñ tale mal jā.ūñgā

    dil-e-muztar ye kahe hai vahīñ le chal varna

    toḌ chhātī ke kivāḌoñ ko nikal jā.ūñgā

    maiñ huuñ ḳhurshīd-e-sar-e-koh yaqīñ hai ki vo maah

    aa.egā baam pe tab jab ki maiñ Dhal jā.ūñgā

    aaj bhī koī na le jā.egā vaañ mujh ko to bas

    kal nahīñ hai mujhe maiñ se kal jā.ūñgā

    vaañ se uThtā huuñ to kahtā hai ye pā-e-raftār

    jab zamīñ par rakhegā maiñ phisal jā.ūñgā

    ba-ḳhudā husn-e-butāñ yahī sab se hai kalām

    vo chhalāvā huuñ ki tum sab ko maiñ chhal jā.ūñgā

    aa ke barsoñ meñ vo mujh paas ye shab kahne lage

    yaañ Thaharne meñ bahut se haiñ ḳhalal jā.ūñgā

    teġha qātil kahe hai ki duvālī bandū

    muuTh tarah se tum sab pe maiñ chal jā.ūñgā

    go mizāj is ye badlā ki kahe hai mujhe yuuñ

    dekho tum aa.e to maiñ ghar se nikal jā.ūñgā

    par rahā jā.egā kab hai mirī hālat taġh.īr

    yuuñ na jā.ūñgā to maiñ bhes badal jā.ūñgā

    'jur.at' ash.ār-e-junūñ-ḳhez kah ab aur ki maiñ

    le ke ye turbat-e-saudā pe ġhazal jā.ūñgā

    dud-e-atish ki tarah yan se na Tal jaunga

    shama-san mahfil-e-jaanan hi mein jal jaunga

    dur se bhi use dekhun to ye chitwan mein kahe

    aa ke dide abhi talwon tale mal jaunga

    dil-e-muztar ye kahe hai wahin le chal warna

    toD chhati ke kiwaDon ko nikal jaunga

    main hun KHurshid-e-sar-e-koh yaqin hai ki wo mah

    aaega baam pe tab jab ki main Dhal jaunga

    aaj bhi koi na le jaega wan mujh ko to bas

    kal nahin hai mujhe main ji hi se kal jaunga

    wan se uThta hun to kahta hai ye pa-e-raftar

    jab zamin par tu rakhega main phisal jaunga

    ba-KHuda husn-e-butan ka yahi sab se hai kalam

    wo chhalawa hun ki tum sab ko main chhal jaunga

    aa ke barson mein wo mujh pas ye shab kahne lage

    yan Thaharne mein bahut se hain KHalal jaunga

    tegha qatil ka kahe hai ki duwali bandu

    muTh ki tarah se tum sab pe main chal jaunga

    go mizaj is ka ye badla ki kahe hai mujhe yun

    dekho tum aae to main ghar se nikal jaunga

    par raha jaega kab hai meri haalat taghir

    yun na jaunga to main bhes badal jaunga

    'jurat' ashaar-e-junun-KHez kah ab aur ki main

    le ke ye turbat-e-sauda pe ghazal jaunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now