ek ek qatre ka mujhe dena paDa hisab
ek ek qatre kā mujhe denā paḌā hisāb
ḳhūn-e-jigar vadī.at-e-mizhgān-e-yār thā
ab maiñ huuñ aur mātam-e-yak-shahr-ārazū
toḌā jo tū ne aa.ina timsāl-dār thā
galiyoñ meñ merī nā'sh ko khīñche phiro ki maiñ
jāñ-dāda-e-havā-e-sar-e-rahguzār thā
mauj-e-sarāb-e-dasht-e-vafā kā na pūchh haal
har zarra misl-e-jauhar-e-teġh āb-dār thā
kam jānte the ham bhī ġham-e-ishq ko par ab
dekhā to kam hue pa ġham-e-rozgār thā
kis kā junūn-e-dīd tamannā-shikār thā
ā.īna-ḳhāna vādī-e-jauhar-ġhubār thā
kis kā ḳhayāl ā.ina-e-intizār thā
har barg-e-gul ke parde meñ dil be-qarār thā
juuñ ġhuncha-o-gul āfat-e-fāl-e-nazar na pūchh
paikāñ se tere jalva-e-zaḳhm āshkār thā
dekhī vafā-e-fursat-e-ranj-o-nashāt-e-dahr
ḳhamyāza yak-darāzi-e-umr-e-ḳhumār thā
sub.h-e-qayāmat ek dum-e-gurg thī 'asad'
jis dasht meñ vo shoḳh-e-do-ālam shikār thā
ek ek qatre ka mujhe dena paDa hisab
KHun-e-jigar wadiat-e-mizhgan-e-yar tha
ab main hun aur matam-e-yak-shahr-arazu
toDa jo tu ne aaina timsal-dar tha
galiyon mein meri na'sh ko khinche phiro ki main
jaan-dada-e-hawa-e-sar-e-rahguzar tha
mauj-e-sarab-e-dasht-e-wafa ka na puchh haal
har zarra misl-e-jauhar-e-tegh aab-dar tha
kam jaante the hum bhi gham-e-ishq ko par ab
dekha to kam hue pa gham-e-rozgar tha
kis ka junun-e-did tamanna-shikar tha
aaina-KHana wadi-e-jauhar-ghubar tha
kis ka KHayal aaina-e-intizar tha
har barg-e-gul ke parde mein dil be-qarar tha
jun ghuncha-o-gul aafat-e-fal-e-nazar na puchh
paikan se tere jalwa-e-zaKHm aashkar tha
dekhi wafa-e-fursat-e-ranj-o-nashat-e-dahr
KHamyaza yak-daraazi-e-umr-e-KHumar tha
subh-e-qayamat ek dum-e-gurg thi 'asad'
jis dasht mein wo shoKH-e-do-alam shikar tha
- Book : Deewan-e-Ghalib Jadeed (Al-Maroof Ba Nuskha-e-Hameedia) (Pg. 161)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.