Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gahri jhilen unche unche Tile phul

aqeel nomani

gahri jhilen unche unche Tile phul

aqeel nomani

MORE BYaqeel nomani

    gahrī jhīleñ ūñche ūñche Tiile phuul

    pattī pattī aag liye sharmīle phuul

    aashā Tahnī par zinda piile phuul

    shahd ugalne ko bechain rasīle phuul

    halkī halkī aañch phisaltī os buuñd

    chiknī chiknī pattī vaale giile phuul

    vahshī raqs chamakte ḳhanjar surḳh alaav

    jangal jangal kāñTe-dār qabīle phuul

    dast-e-havas sūraj jabr samay qahr

    kuchh din jīvan hai kuchh din le phuul

    būḌhī socheñ suunī āñkheñ lambī raat

    kachche āñgan meñ chup sādhe piile phuul

    gahri jhilen unche unche Tile phul

    patti patti aag liye sharmile phul

    aasha ki Tahni par zinda pile phul

    shahd ugalne ko bechain rasile phul

    halki halki aanch phisalti os ki bund

    chikni chikni patti wale gile phul

    wahshi raqs chamakte KHanjar surKH alaw

    jangal jangal kanTe-dar qabile phul

    dast-e-hawas suraj ka jabr samay ka qahr

    kuchh din ka jiwan hai kuchh din ji le phul

    buDhi sochen suni aankhen lambi raat

    kachche aangan mein chup sadhe pile phul

    Source:

    Parwaz Ka Mosam (Pg. 64)

    • Author: aqeel nomani
      • Publisher: aqeel nomani
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now