aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

warid koh-e-bayaban jab mein diwana hua

Hatim Ali Mehr

warid koh-e-bayaban jab mein diwana hua

Hatim Ali Mehr

MORE BYHatim Ali Mehr

    vārid koh-e-bayābāñ jab meñ dīvāna huā

    kohkan se dostī majnūñ se yārāna huā

    vahshat-afzā kis qadar apnā bhī afsāna huā

    merā qissa sunte sunte qais dīvāna huā

    ḳhār-e-sahrā par ḳhirāmāñ jab maiñ dīvāna huā

    ḳhūn-e-pā se rashk-e-pā.eñ baaġh vīrāna huā

    aañkh nargis se laḌā kar āshnā andalīb

    ai gul-e-tar ek maiñ aur sabza begāna huā

    pahniye kafnī qanā.at hai libās faqīr meñ

    kab tabdīl us ko shakl raḳht-e-shāhāna huā

    kal vahāñ par hovegā gor-e-ġharībāñ maqām

    aaj jis par banā qasr-e-amīrāna huā

    bai.at-e-daste-subū pas pyālā liyā

    taak shajara milā mashrab bhī rindāna huā

    sham-e-kaukal dekhte anjuman meñ phaTak gayā

    ik jale tan āshiqoñ meñ ham parvāna huā

    Tal ga.ī sar se balā apnā muqaddar khul gayā

    mū-e-sar meñ aaj dast-e-yār shāna huā

    ab kahīñ koī Thikāna nahīñ juz kū-e-yār

    murtad-e-ka.aba huā mardūd-e-but-ḳhāna huā

    jām-e-kausar sāqī-e-kausar bhī deñge hashr meñ

    dast-e-sāqī se ināyat mujh ko paimāna huā

    kohr qutubeñ haiñ ai mah tirī tasbīh meñ

    kaukab-e-sayyāra saañ raushan har ik daana huā

    kaun aisā hai jo mujh bekas dildārī kare

    darpa-e-jāñ dost dushman apnā begāna huā

    ḳhuub pakḌe ye kāfir bhī balā saañp the

    panja-e-afsūn-gar zulfoñ meñ tirī shāna huā

    tum batā do kis jagah rakhe haiñ dil ushshāq ke

    DhūñDh lūñgā aap merā dil pahchānā huā

    sozan-e-īsā ne us ke paañv ke moze siye

    panja-e-ḳhurshīd hāzir le ke dastāna huā

    chāhtā huuñ apnī zanjīreñ junūñ ke josh meñ

    rizq mere vāste zanjīr daana huā

    dar-ba-dar maarā phirā maiñ justujū-e-yār meñ

    zāhid-e-ka.aba huā rahbān-e-but-ḳhāna huā

    naam par mujh bāda-kash ke saad chashm-e-mast hai

    nāma-e-a.amāl merā ḳhat paimāna huā

    mere ghar aayā hai mere sher sunñe ko vo 'mehr'

    ġhairat-e-baitushsharaf apnā bhī kāshāna huā

    warid koh-e-bayaban jab mein diwana hua

    kohkan se dosti majnun se yarana hua

    wahshat-afza kis qadar apna bhi afsana hua

    mera qissa sunte sunte qais diwana hua

    KHar-e-sahra par KHiraman jab main diwana hua

    KHun-e-pa se rashk-e-paen bagh virana hua

    aankh nargis se laDa kar aashna hi andalib

    ai gul-e-tar ek main aur sabza begana hua

    pahniye kafni qanaat hai libas faqir mein

    kab tabdil us ko shakl raKHt-e-shahana hua

    kal wahan par howega gor-e-ghariban ka maqam

    aaj jis ja par bana qasr-e-amirana hua

    baiat-e-daste-subu ka pas pyala pi liya

    tak ka shajara mila mashrab bhi rindana hua

    sham-e-kaukal dekhte hi anjuman mein phaTak gaya

    ek jale tan aashiqon mein hum sa parwana hua

    Tal gai sar se bala apna muqaddar khul gaya

    mu-e-sar mein aaj dast-e-yar ka shana hua

    ab kahin koi Thikana hi nahin juz ku-e-yar

    murtad-e-kaba hua mardud-e-but-KHana hua

    jam-e-kausar saqi-e-kausar bhi denge hashr mein

    dast-e-saqi se inayat mujh ko paimana hua

    kohr ki qutuben hain ai mah teri tasbih mein

    kaukab-e-sayyara san raushan har ek dana hua

    kaun aisa hai jo mujh bekas ki dildari kare

    darpa-e-jaan dost dushman apna begana hua

    KHub hi pakDe ye kafir bhi bala ki sanp the

    panja-e-afsun-gar ka zulfon mein teri shana hua

    tum bata do kis jagah rakhe hain dil ushshaq ke

    DhunDh lunga aap mera dil hi pahchana hua

    sozan-e-isa ne us ke panw ke moze siye

    panja-e-KHurshid hazir le ke dastana hua

    chahta hun apni zanjiren junun ke josh mein

    rizq mere waste zanjir ka dana hua

    dar-ba-dar mara phira main justuju-e-yar mein

    zahid-e-kaba hua rahban-e-but-KHana hua

    nam par mujh baada-kash ke sad chashm-e-mast hai

    nama-e-amal mera KHat paimana hua

    mere ghar aaya hai mere sher sunne ko wo 'mehr'

    ghairat-e-baitushsharaf apna bhi kashana hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now