Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab maine kaha ai but-e-KHud-kaam ware aa

Jurat Qalandar Bakhsh

jab maine kaha ai but-e-KHud-kaam ware aa

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    jab maiñ ne kahā ai but-e-ḳhud-kām vare aa

    tab kahne lagā ''chal be o bad-nām pare jaa''

    hai sub.h se āshiq tire haal nipaT tañg

    ma.alūm ye hotā hai ki tā-shām maregā

    nāseh mire rone na maan.e ho ki āshiq

    gar ye na kare kaam to phir kaam kare kyā

    aatā hai gar is abr meñ ai sāqī-e-gulfām

    to bāda-e-gul-rañg se jaam bhare

    yaañ ziist ḳhatra nahīñ haañ khīñchiye talvār

    vo ġhair thā jo dekh ke samsām Dare thā

    maiñ ne jo kahā ek to bosa mujhe de

    bolā vo ''zabāñ apnī ko thaam are hā!''

    gar dīda-o-dil farsh karūñ raah meñ 'jur.at'

    mumkin nahīñ jo vo dil-ārām dhare

    jab main ne kaha ai but-e-KHud-kaam ware aa

    tab kahne laga chal be o bad-nam pare ja

    hai subh se aashiq ka tere haal nipaT tang

    malum ye hota hai ki ta-sham marega

    naseh mere rone ka na mane ho ki aashiq

    gar ye na kare kaam to phir kaam kare kya

    aata hai gar is abr mein ai saqi-e-gulfam

    to baada-e-gul-rang se tu jam bhare la

    yan zist ka KHatra nahin han khinchiye talwar

    wo ghair tha jo dekh ke samsam Dare tha

    main ne jo kaha ek to bosa tu mujhe de

    bola wo zaban apni ko tu tham are ha!

    gar dida-o-dil farsh karun rah mein 'jurat'

    mumkin hi nahin jo wo dil-aram dhare pa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now