jabin ka chand banun aankh ka sitara banun
jabīñ kā chāñd banūñ aañkh kā sitārā banūñ
kisī jamāl-e-shafaq-tāb kā sahārā banūñ
mohabbatoñ kī shikastoñ kā ik ḳharāba huuñ
ḳhudārā mujh ko girāo ki maiñ dobārā banūñ
ye bhīgī bhīgī havāoñ meñ sard sard mahak
jo dil kī aag meñ utre to kuchh gavārā banūñ
har ek ġhuncha-dahan kā yahī taqāzā hai
jamāliyāt kā maiñ āḳhirī shumāra banūñ
zamāna manzar-e-mauhūm kā hai shaidā.ī
ye aarzū hai koī daur kā nazārā banūñ
har ek mauj ho uThtī javāniyoñ kī dhanak
banūñ to aise samundar kā maiñ kināra banūñ
mujhe lagan ki maiñ ā.īne kī misāl rahūñ
use havas ki rivāyāt-e-sañg-e-ḳhārā banūñ
ġhazal vo kyuuñ na ho 'fāriġh' dur-e-adan ki jahāñ
har ek sher ko zid ho ki shāh-pāra banūñ
jabin ka chand banun aankh ka sitara banun
kisi jamal-e-shafaq-tab ka sahaara banun
mohabbaton ki shikaston ka ek KHaraba hun
KHudara mujh ko girao ki main dobara banun
ye bhigi bhigi hawaon mein sard sard mahak
jo dil ki aag mein utre to kuchh gawara banun
har ek ghuncha-dahan ka yahi taqaza hai
jamaliyat ka main aaKHiri shumara banun
zamana manzar-e-mauhum ka hai shaidai
ye aarzu hai koi daur ka nazara banun
har ek mauj ho uThti jawaniyon ki dhanak
banun to aise samundar ka main kinara banun
mujhe lagan ki main aaine ki misal rahun
use hawas ki riwayat-e-sang-e-KHara banun
ghazal wo kyun na ho 'farigh' dur-e-adan ki jahan
har ek sher ko zid ho ki shah-para banun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.