kya parinde lauT kar aae nahin
kyā parinde lauT kar aa.e nahīñ
vo kisī āvāz par aa.e nahīñ
shaam se hī fikr gahrī ho ga.ī
shahr se jab log ghar aa.e nahīñ
suune suune hī khaḌe haiñ sab shajar
ab talak to kuchh samar aa.e nahīñ
ab ke vo aise safar par kyā ga.e
phir dobāra lauT kar aa.e nahīñ
uḌ ga.e taa.ir bulātā maiñ rahā
vo mirī dīvār par aa.e nahīñ
kya parinde lauT kar aae nahin
wo kisi aawaz par aae nahin
sham se hi fikr gahri ho gai
shahr se jab log ghar aae nahin
sune sune hi khaDe hain sab shajar
ab talak to kuchh samar aae nahin
ab ke wo aise safar par kya gae
phir dobara lauT kar aae nahin
uD gae tair bulata main raha
wo meri diwar par aae nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.