kyun na hun hairan teri har baat ka
kyuuñ na huuñ hairāñ tirī har baat kā
husn muraqqa.a hai tilismāt kā
ro.uuñ to ḳhush ho ke piye hai vo mai
samjhe hai mausam ise barsāt kā
uThtī javānī jo hai to din-ba-din
aur hī aalam hai kuchh is gaat kā
ghar meñ bulāyā hai to kuchh muñh se do
sīkho ye Dhab ham se mudārāt kā
shaiḳh javāñ hogā tū pī dekh ise
shīshe meñ paanī hai karāmāt kā
ham na mileñ tum se to nikle hai jaañ
aur tumheñ aalam hai musāvāt kā
us ne kī ab kam-suḳhanī iḳhtiyār
jis ko maza thā mirī har baat kā
aañkh bhī miltī hai to nā-āshnā
ab vo kahāñ lutf ishārāt kā
rone kī jā hai sun ise ham-nashīñ
tū to hai mahram mire auqāt kā
hukm huā raat ko aao na yaañ
din ko rakho taur mulāqāt kā
dil ke aTakte hī huā hai sitam
farq mulāqāt meñ din raat kā
baat na.ī sūjhe hai 'jur.at' tujhe
maiñ to huuñ āshiq tirī is baat kā
kyun na hun hairan teri har baat ka
husn muraqqa hai tilismat ka
roun to KHush ho ke piye hai wo mai
samjhe hai mausam ise barsat ka
uThti jawani jo hai to din-ba-din
aur hi aalam hai kuchh is gat ka
ghar mein bulaya hai to kuchh munh se do
sikho ye Dhab hum se mudaraat ka
shaiKH jawan hoga tu pi dekh ise
shishe mein pani hai karamat ka
hum na milen tum se to nikle hai jaan
aur tumhein aalam hai musawat ka
us ne ki ab kam-suKHani iKHtiyar
jis ko maza tha meri har baat ka
aankh bhi milti hai to na-ashna
ab wo kahan lutf ishaaraat ka
rone ki ja hai sun ise ham-nashin
tu to hai mahram mere auqat ka
hukm hua raat ko aao na yan
din ko rakho taur mulaqat ka
dil ke aTakte hi hua hai sitam
farq mulaqat mein din raat ka
baat nai sujhe hai 'jurat' tujhe
main to hun aashiq teri is baat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.