sach kahan kahta hai jaane wala
sach kahāñ kahtā hai jaane vaalā
ḳhuub pachhtā.egā aane vaalā
raat aur din kā tasalsul kyā hai
ek chakkar hai thakāne vaalā
mutma.in hai vo banā kar duniyā
kaun hotā huuñ maiñ Dhāne vaalā
sub.h se khod rahā huuñ ghar ko
ḳhvāb dekhā hai ḳhazāne vaalā
thak gayā thā to zarā ruk jaatā
merī tasvīr banāne vaalā
dil meñ is darja ḳhamoshī kyuuñ hai
kyā huā shor machāne vaalā
sharm se Duub maregā 'alvī'
ḳhush kahāñ hogā satāne vaalā
sach kahan kahta hai jaane wala
KHub pachhtaega aane wala
raat aur din ka tasalsul kya hai
ek chakkar hai thakane wala
mutmain hai wo bana kar duniya
kaun hota hun main Dhane wala
subh se khod raha hun ghar ko
KHwab dekha hai KHazane wala
thak gaya tha to zara ruk jata
meri taswir banane wala
dil mein is darja KHamoshi kyun hai
kya hua shor machane wala
sharm se Dub marega 'alwi'
KHush kahan hoga satane wala
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 87)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.