aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain

Ahmad Faraz

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    Interesting Fact

    Film: Jannat Ki Talaash (1999)

    sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ

    so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ

    sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se

    so apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ

    sunā hai dard gāhak hai chashm-e-nāz us

    so ham bhī us galī se guzar ke dekhte haiñ

    sunā hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf

    so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ

    sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ

    ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ

    sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai

    sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ

    sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ

    sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ

    sunā hai hashr haiñ us ġhazāl āñkheñ

    sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ

    sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us

    sunā hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ

    sunā hai us siyah-chashmagī qayāmat hai

    so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ

    sunā hai us ke laboñ se gulāb jalte haiñ

    so ham bahār pe ilzām dhar ke dekhte haiñ

    sunā hai aa.ina timsāl hai jabīñ us

    jo saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte haiñ

    sunā hai jab se hamā.il haiñ us gardan meñ

    mizāj aur laal o guhar ke dekhte haiñ

    sunā hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkāñ meñ

    palañg zāviye us kamar ke dekhte haiñ

    sunā hai us ke badan tarāsh aisī hai

    ki phuul apnī qabā.eñ katar ke dekhte haiñ

    vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murād nahīñ

    ki us shajar pe shagūfe samar ke dekhte haiñ

    bas ik nigāh se luTtā hai qāfila dil

    so rah-ravān-e-tamannā bhī Dar ke dekhte haiñ

    sunā hai us ke shabistāñ se muttasil hai bahisht

    makīñ udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte haiñ

    ruke to gardisheñ us tavāf kartī haiñ

    chale to us ko zamāne Thahar ke dekhte haiñ

    kise nasīb ki be-pairahan use dekhe

    kabhī kabhī dar o dīvār ghar ke dekhte haiñ

    kahāniyāñ sahī sab mubālġhe sahī

    agar vo ḳhvāb hai tābīr kar ke dekhte haiñ

    ab us ke shahr meñ Thahreñ ki kuuch kar jaa.eñ

    'farāz' aao sitāre safar ke dekhte haiñ

    suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain

    so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain

    suna hai rabt hai us ko KHarab-haalon se

    so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain

    suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki

    so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain

    suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf

    so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain

    suna hai bole to baaton se phul jhaDte hain

    ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

    suna hai raat use chand takta rahta hai

    sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain

    suna hai din ko use titliyan satati hain

    suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain

    suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen

    suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

    suna hai raat se baDh kar hain kakulen us ki

    suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain

    suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai

    so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain

    suna hai us ke labon se gulab jalte hain

    so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain

    suna hai aaina timsal hai jabin us ki

    jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain

    suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein

    mizaj aur hi lal o guhar ke dekhte hain

    suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein

    palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain

    suna hai us ke badan ki tarash aisi hai

    ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain

    wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin

    ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain

    bas ek nigah se luTta hai qafila dil ka

    so rah-rawan-e-tamanna bhi Dar ke dekhte hain

    suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht

    makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain

    ruke to gardishen us ka tawaf karti hain

    chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain

    kise nasib ki be-pairahan use dekhe

    kabhi kabhi dar o diwar ghar ke dekhte hain

    kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi

    agar wo KHwab hai tabir kar ke dekhte hain

    ab us ke shahr mein Thahren ki kuch kar jaen

    'faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Mehran Amrohi

    Mehran Amrohi

    Ahmad Faraz

    Ahmad Faraz

    Ahmad Faraz

    Ahmad Faraz

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    Gayatri Asokan

    Gayatri Asokan

    Ustad Salamat Ali Khan

    Ustad Salamat Ali Khan

    Gayatri Asokan

    Gayatri Asokan

    Unknown

    Unknown

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now