us ka pichha na kiya humne sadaon ki tarah
us kā pīchhā na kiyā ham ne sadāoñ kī tarah
aa ga.e lauT ke nākām duāoñ kī tarah
tere dāman se lipaTtā huuñ to miltā hai sukūñ
maiñ huuñ ai dost pareshān havāoñ kī tarah
dil ka.ī saal se marghaT kī tarah suunā hai
ham ka.ī saal se raushan haiñ chitāoñ kī tarah
dasht-e-iḳhlās meñ miltā hai bahar-hāl sukūñ
ġham bhī siine se lagā lete haiñ maaoñ kī tarah
aur phir ham bhī ujāloñ ko mayassar na hue
pyaar kā shahr thā tārīk guphāoñ kī tarah
mere chehre pe haqīqat kī lakīreñ haiñ 'aqīl'
log paḌhte haiñ mujhe saty kathāoñ kī tarah
us ka pichha na kiya hum ne sadaon ki tarah
aa gae lauT ke nakaam duaon ki tarah
tere daman se lipaTta hun to milta hai sukun
main hun ai dost pareshan hawaon ki tarah
dil kai sal se marghaT ki tarah suna hai
hum kai sal se raushan hain chitaon ki tarah
dasht-e-iKHlas mein milta hai bahar-haal sukun
gham bhi sine se laga lete hain maon ki tarah
aur phir hum bhi ujalon ko mayassar na hue
pyar ka shahr tha tarik guphaon ki tarah
mere chehre pe haqiqat ki lakiren hain 'aqil'
log paDhte hain mujhe saty kathaon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.