uThte hue qadmon ki dhamak aane lagi hai
uThte hue qadmoñ kī dhamak aane lagī hai
pau phaTne se pahle hī galī jaag uThī hai
āshiq ho to choroñ meñ bhī ab naam likhāo
darvāza bhale band hai khiḌkī to khulī hai
log apne makānoñ kī taraf bhaag rahe haiñ
ghar vāloñ pe jaise koī uftād paḌī hai
ai bād-e-sabā kis liye phirtī hai pareshāñ
kyā tū bhī usī phuul kī Thukrā.ī huī hai
aa gardish-e-daurāñ tujhe siine se lagā luuñ
ab tak to mirī jaañ tū mire saath rahī hai
ab aa.e ho duniyā meñ to yuuñ muñh na bigāḌo
do roz to rahnā hai burī hai to burī hai
bāzār ke dāmoñ kī shikāyat hai har ik ko
phir bhī sar-e-bāzār baḌī bhiiḌ lagī hai
kāñTe kī tarah suukh ke rah jāoge 'alvī'
chhoḌo ye ġhazal-goī ye bīmārī burī hai
uThte hue qadmon ki dhamak aane lagi hai
pau phaTne se pahle hi gali jag uThi hai
aashiq ho to choron mein bhi ab nam likhao
darwaza bhale band hai khiDki to khuli hai
log apne makanon ki taraf bhag rahe hain
ghar walon pe jaise koi uftad paDi hai
ai baad-e-saba kis liye phirti hai pareshan
kya tu bhi usi phul ki Thukrai hui hai
aa gardish-e-dauran tujhe sine se laga lun
ab tak to meri jaan tu mere sath rahi hai
ab aae ho duniya mein to yun munh na bigaDo
do roz to rahna hai buri hai to buri hai
bazar ke damon ki shikayat hai har ek ko
phir bhi sar-e-bazar baDi bhiD lagi hai
kanTe ki tarah sukh ke rah jaoge 'alwi'
chhoDo ye ghazal-goi ye bimari buri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.