aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mera yar tha mujhko na ye KHayal aaya

Azhar Inayati

wo mera yar tha mujhko na ye KHayal aaya

Azhar Inayati

MORE BYAzhar Inayati

    vo merā yaar thā mujh ko na ye ḳhayāl aayā

    maiñ apne zehan sab bojh us pe Daal aayā

    ab us ke paas koī sañg pheñkne ko nahīñ

    fazā meñ āḳhirī patthar bhī vo uchhāl aayā

    tamām bhiiḌ meñ ik maiñ pur-sukūñ thā bahut

    tamām bhiiḌ ko mujh par ishti.āl aayā

    ajab junūn hai ye intiqām jazba

    shikast khā ke vo paanī meñ zahr Daal aayā

    kal apne-āp se jab laḌte laḌte haar gayā

    to ek shaḳhs phir der tak ḳhayāl aayā

    vo be-sabab ḳhafā thā magar maiñ aaj 'az.har'

    gale meñ us ke bhī bāñhoñ haar Daal aayā

    wo mera yar tha mujh ko na ye KHayal aaya

    main apne zehan ka sab bojh us pe Dal aaya

    ab us ke pas koi sang phenkne ko nahin

    faza mein aaKHiri patthar bhi wo uchhaal aaya

    tamam bhiD mein ek main hi pur-sukun tha bahut

    tamam bhiD ko mujh par hi ishtial aaya

    ajab junun hai ye intiqam ka jazba

    shikast kha ke wo pani mein zahr Dal aaya

    kal apne-ap se jab laDte laDte haar gaya

    to ek shaKHs ka phir der tak KHayal aaya

    wo be-sabab hi KHafa tha magar main aaj 'azhar'

    gale mein us ke bhi banhon ka haar Dal aaya

    Source:

    jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 173)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now