mohabbat ho gai tum se
tumheƱ ik baat kahnī thī
ijÄzat ho to kah duuƱ maiƱ
ye bhÄ«gÄ bhÄ«gÄ sÄ mausam
ye titlī phuul aur shabnam
chamakte chÄƱd kÄ« bÄteƱ
ye būñdeƱ aur barsÄteƱ
ye kaalÄ« raat kÄ ÄƱchal
havÄ meƱ nÄchte bÄdal
dhaįøakte mausamoƱ kÄ dil
mahaktÄ« įø³hushbÅ«oƱ kÄ dil
ye sab jitne nazÄre haiƱ
kaho kis ke ishÄre haiƱ
sabhÄ« bÄteƱ sunÄ« tum ne
phir ÄƱkheƱ pher liiƱ tum ne
maiƱ tab jÄ kar kahīƱ samjhÄ
ki tum ne kuchh nahīƱ samjhÄ
maiñ qissa muḳhtasar kar ke
zarÄ nÄ«chÄ« nazar kar ke
ye kahtÄ huuƱ abhÄ« tum se
mohabbat ho ga.Ä« tum se
tumhein ek baat kahni thi
ijazat ho to kah dun main
ye bhiga bhiga sa mausam
ye titli phul aur shabnam
chamakte chand ki baaten
ye bunden aur barsaten
ye kali raat ka aanchal
hawa mein nachte baadal
dhaDakte mausamon ka dil
mahakti KHushbuon ka dil
ye sab jitne nazare hain
kaho kis ke ishaare hain
sabhi baaten suni tum ne
phir aankhen pher lin tum ne
main tab ja kar kahin samjha
ki tum ne kuchh nahin samjha
main qissa muKHtasar kar ke
zara nichi nazar kar ke
ye kahta hun abhi tum se
mohabbat ho gai tum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.