Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham ka KHazana tera bhi hai mera bhi

Shahid Kabir

gham ka KHazana tera bhi hai mera bhi

Shahid Kabir

ġham ḳhazāna terā bhī hai merā bhī

ye nazrāna terā bhī hai merā bhī

apne ġham ko giit banā kar lenā

raag purānā terā bhī hai merā bhī

kaun hai apnā kaun parāyā kyā socheñ

chhoḌ zamāna terā bhī hai merā bhī

shahr meñ galiyoñ galiyoñ jis charchā hai

vo afsāna terā bhī hai merā bhī

mujh ko aur maiñ tujh ko samjhā.ūñ kyā

dil dīvāna terā bhī hai merā bhī

mai-ḳhāne baat na kar vaa.iz mujh se

aanā jaanā terā bhī hai merā bhī

jaisā bhī hai 'shāhid' ko ab kyā kahiye

yaar purānā terā bhī hai merā bhī

gham ka KHazana tera bhi hai mera bhi

ye nazrana tera bhi hai mera bhi

apne gham ko git bana kar ga lena

rag purana tera bhi hai mera bhi

kaun hai apna kaun paraya kya sochen

chhoD zamana tera bhi hai mera bhi

shahr mein galiyon galiyon jis ka charcha hai

wo afsana tera bhi hai mera bhi

tu mujh ko aur main tujh ko samjhaun kya

dil diwana tera bhi hai mera bhi

mai-KHane ki baat na kar waiz mujh se

aana jaana tera bhi hai mera bhi

jaisa bhi hai 'shahid' ko ab kya kahiye

yar purana tera bhi hai mera bhi

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

gham ka KHazana tera bhi hai mera bhi Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now