Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhaare baad hua

Noshi Gilani

ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhaare baad hua

Noshi Gilani

ab kis se kaheñ aur kaun sune jo haal tumhāre baad huā

is dil jhiil āñkhoñ meñ ik ḳhvāb bahut barbād huā

ye hijr-havā bhī dushman hai is naam ke saare rañgoñ

vo naam jo mere hoñToñ par ḳhushbū tarah ābād huā

us shahr meñ kitne chehre the kuchh yaad nahīñ sab bhuul ga.e

ik shaḳhs kitāboñ jaisā thā vo shaḳhs zabānī yaad huā

vo apne gaañv galiyāñ thiiñ dil jin meñ nāchtā gaatā thā

ab is se farq nahīñ paḌtā nāshād huā shaad huā

benām satā.ish rahtī thī in gahrī sāñvlī āñkhoñ meñ

aisā to kabhī sochā bhī na thā dil ab jitnā bedād huā

ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhaare baad hua

is dil ki jhil si aankhon mein ek KHwab bahut barbaad hua

ye hijr-hawa bhi dushman hai is nam ke sare rangon ki

wo nam jo mere honTon par KHushbu ki tarah aabaad hua

us shahr mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhul gae

ek shaKHs kitabon jaisa tha wo shaKHs zabani yaad hua

wo apne ganw ki galiyan thin dil jin mein nachta gata tha

ab is se farq nahin paDta nashad hua ya shad hua

benam sataish rahti thi in gahri sanwli aankhon mein

aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedad hua

RECITATIONS

Azra Naqvi

Azra Naqvi,

00:00/00:00
Azra Naqvi

Ab kisse kahen aur kaun sune Azra Naqvi

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now