Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar khula subh ko pau phaTte hi mai-KHane ka

Riyaz Khairabadi

dar khula subh ko pau phaTte hi mai-KHane ka

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    dar khulā sub.h ko pau phaTte mai-ḳhāne

    aks sūraj hai chhalakte hue paimāne

    husn maujoñ chhalaknā bhare paimāne

    raqs pariyoñ hai aalam hai parī-ḳhāne

    haa.e zanjīr-shikan vo kashish-e-fasl-e-bahār

    aur zindāñ se nikalnā tire dīvāne

    sadqe us soz ke jo soz ho us husn ke saath

    sho.ala goyā par-e-parvāz hai parvāne

    hoñ vahāñ ġham hai jahāñ hasti-e-mauhūm mirī

    dūsrā naam adam hai mire vīrāne

    na bayāñ ho jo mile sub.h-e-azal shām-e-abad

    hashr hai beach TukḌā mire afsāne

    parda bhī baat bhī jalva bhī pas-e-dāman-e-barq

    shoḳhiyāñ haiñ ki ye andāz hai sharmāne

    baal ke badle nazar aate haiñ is meñ sau chaak

    aks ā.īna-e-dil par bhī paḌā shāne

    peT meñ ḳhum ke hai jo kuchh vo bharā hai is meñ

    muñh na khulvā are vaa.iz mire paimāne

    kyā tasavvur se uTh jaate haiñ parde dil ke

    dil bhī kyā naam hai un ke kisī kāshāne

    rakhtī hai ālam-e-nau sorish-e-hañgāma-e-ishq

    hashr ik harf-e-ġhalat hai mire afsāne

    aap ke haar kaliyoñ se ye milne nahīñ

    dil hai miTTī na ghulne na murjhāne

    khiñchne vaalī jhalak dekhī hai jab se saaqī

    dekhnā muñh mujhe añgūr ke har daane

    phirtī hai hashr ke din aañkh ke nīche shab-e-vasl

    haa.e andāz vo us zulf ke bal khāne

    sham-e-ka.aba rahe mahfūz ilāhī tā-hashr

    naam raushan hai ik ujḌe hue but-ḳhāne

    na havā thī na mirī āh-e-adū the vo the

    haal shab ko na khulā sham.a ke bujh jaane

    log kahte haiñ ki hai zāhid-e-martāz 'riyāz'

    riñd kahte haiñ use chor hai mai-ḳhāne

    dar khula subh ko pau phaTte hi mai-KHane ka

    aks suraj hai chhalakte hue paimane ka

    husn maujon ka chhalakna bhare paimane ka

    raqs pariyon ka hai aalam hai pari-KHane ka

    hae zanjir-shikan wo kashish-e-fasl-e-bahaar

    aur zindan se nikalna tere diwane ka

    sadqe us soz ke jo soz ho us husn ke sath

    shoala goya par-e-parwaz hai parwane ka

    hon wahan gham hai jahan hasti-e-mauhum meri

    dusra nam adam hai mere virane ka

    na bayan ho jo mile subh-e-azal sham-e-abad

    hashr hai beach ka TukDa mere afsane ka

    parda bhi baat bhi jalwa bhi pas-e-daman-e-barq

    shoKHiyan hain ki ye andaz hai sharmane ka

    baal ke badle nazar aate hain is mein sau chaak

    aks aaina-e-dil par bhi paDa shane ka

    peT mein KHum ke hai jo kuchh wo bhara hai is mein

    munh na khulwa are waiz mere paimane ka

    kya tasawwur hi se uTh jate hain parde dil ke

    dil bhi kya nam hai un ke kisi kashane ka

    rakhti hai aalam-e-nau sorish-e-hangama-e-ishq

    hashr ek harf-e-ghalat hai mere afsane ka

    aap ke haar ki kaliyon se ye milne ka nahin

    dil hai miTTi ka na ghulne ka na murjhane ka

    khinchne wali ki jhalak dekhi hai jab se saqi

    dekhna munh mujhe angur ke har dane ka

    phirti hai hashr ke din aankh ke niche shab-e-wasl

    hae andaz wo us zulf ke bal khane ka

    sham-e-kaba rahe mahfuz ilahi ta-hashr

    nam raushan hai ek ujDe hue but-KHane ka

    na hawa thi na meri aah-e-adu the wo the

    haal shab ko na khula shama ke bujh jaane ka

    log kahte hain ki hai zahid-e-martaz 'riyaz'

    rind kahte hain use chor hai mai-KHane ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now