dil be-tab-o-tab ho gaya hai
dil be-tab-o-tāb ho gayā hai
ā.īna ḳharāb ho gayā hai
har shaḳhs hai ishtihār apnā
har chehra kitāb ho gayā hai
har saañs se aa rahī haiñ lapkeñ
har lamha azaab ho gayā hai
jis din se bane ho tum masīhā
haal aur ḳharāb ho gayā hai
hoñToñ pe khilā huā tabassum
zaḳhmoñ kī naqāb ho gayā hai
sochā thā to ishq thā haqīqat
dekhā hai to ḳhvāb ho gayā hai
'qaisar' ġham-e-zindagī simaT kar
ik jām-e-sharāb ho gayā hai
dil be-tab-o-tab ho gaya hai
aaina KHarab ho gaya hai
har shaKHs hai ishtihaar apna
har chehra kitab ho gaya hai
har sans se aa rahi hain lapken
har lamha azab ho gaya hai
jis din se bane ho tum masiha
haal aur KHarab ho gaya hai
honTon pe khila hua tabassum
zaKHmon ki naqab ho gaya hai
socha tha to ishq tha haqiqat
dekha hai to KHwab ho gaya hai
'qaisar' gham-e-zindagi simaT kar
ek jam-e-sharab ho gaya hai
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 329)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.