Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dur tak sabza kahin hai aur na koi saeban

Mohsin Zaidi

dur tak sabza kahin hai aur na koi saeban

Mohsin Zaidi

MORE BYMohsin Zaidi

    duur tak sabza kahīñ hai aur na koī sā.ebāñ

    zer-e-pā taptī zamīñ hai sar pe jaltā āsmāñ

    jaise do mulkoñ ko ik sarhad alag kartī huī

    vaqt ne ḳhat aisā khīñchā mere us ke darmiyāñ

    ab ke sailāb-e-balā sab kuchh bahā kar le gayā

    ab na ḳhvāboñ ke jazīre haiñ na dil kashtiyāñ

    lutf un ab huā to hai magar kuchh is tarah

    jaise sahrā se guzar jaa.e koī abr-e-ravāñ

    munhasir hai aisī ik buniyād par us yaqīñ

    jis tarah dosh-e-havā par koī tinkoñ makāñ

    be-zabānoñ se ḳhamoshī gila kaisā ki jab

    so ga.e lafzoñ chādar taan kar ahl-e-zabāñ

    ye safar kaisā hai 'mohsin' jitnā baḌhte jā.iye

    baḌhtī jaa.eñ utnī manzil-ba-manzil dūriyāñ

    dur tak sabza kahin hai aur na koi saeban

    zer-e-pa tapti zamin hai sar pe jalta aasman

    jaise do mulkon ko ek sarhad alag karti hui

    waqt ne KHat aisa khincha mere us ke darmiyan

    ab ke sailab-e-bala sab kuchh baha kar le gaya

    ab na KHwabon ke jazire hain na dil ki kashtiyan

    lutf un ka ab hua to hai magar kuchh is tarah

    jaise sahra se guzar jae koi abr-e-rawan

    munhasir hai aisi ek buniyaad par us ka yaqin

    jis tarah dosh-e-hawa par koi tinkon ka makan

    be-zabanon se KHamoshi ka gila kaisa ki jab

    so gae lafzon ki chadar tan kar ahl-e-zaban

    ye safar kaisa hai 'mohsin' jitna baDhte jaiye

    baDhti jaen utni hi manzil-ba-manzil duriyan

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now