Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne hi lauTne ka irada nahin kiya

Parveen Shakir

humne hi lauTne ka irada nahin kiya

Parveen Shakir

ham ne lauTne irāda nahīñ kiyā

us ne bhī bhuul jaane va.ada nahīñ kiyā

dukh oḌhte nahīñ kabhī bazm-e-tarab meñ ham

malbūs-e-dil ko tan labāda nahīñ kiyā

jo ġham milā hai bojh uThāyā hai us ḳhud

sar zer-e-bār-e-sāġhar-o-bāda nahīñ kiyā

kār-e-jahāñ hameñ bhī bahut the safar shaam

us ne bhī iltifāt ziyāda nahīñ kiyā

aamad pe terī itr o charāġh o subū na hoñ

itnā bhī būd-o-bāsh ko saada nahīñ kiyā

hum ne hi lauTne ka irada nahin kiya

us ne bhi bhul jaane ka wada nahin kiya

dukh oDhte nahin kabhi bazm-e-tarab mein hum

malbus-e-dil ko tan ka labaada nahin kiya

jo gham mila hai bojh uThaya hai us ka KHud

sar zer-e-bar-e-saghar-o-baada nahin kiya

kar-e-jahan hamein bhi bahut the safar ki sham

us ne bhi iltifat ziyaada nahin kiya

aamad pe teri itr o charagh o subu na hon

itna bhi bud-o-bash ko sada nahin kiya

RECITATIONS

Neelakshi

Neelakshi,

Neelakshi

humne hi lauTne ka irada nahin kiya Neelakshi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now