hiras phail gaya hai zamin-danon mein
hirās phail gayā hai zamīn-dānoñ meñ
qayāmateñ nazar aatī haiñ āsmānoñ meñ
na jaane kis kī nazar lag ga.ī in āñkhoñ par
jo ḳhvāb dekhtī thiiñ ḳhauf ke zamānoñ meñ
yahāñ ḳhayāl ke sotoñ se ḳhuun phūTegā
sarāb ke liye jañgeñ haiñ sārbānoñ meñ
ye kaun haiñ ki ḳhudā kī lagām thāme hue
paḌe hue haiñ qanā.at ke shāmiyānoñ meñ
maiñ apne shahr se māyūs ho ke lauT aayā
purāne sog base the na.e makānoñ meñ
hiras phail gaya hai zamin-danon mein
qayamaten nazar aati hain aasmanon mein
na jaane kis ki nazar lag gai in aankhon par
jo KHwab dekhti thin KHauf ke zamanon mein
yahan KHayal ke soton se KHun phuTega
sarab ke liye jangen hain sarbanon mein
ye kaun hain ki KHuda ki lagam thame hue
paDe hue hain qanaat ke shamiyanon mein
main apne shahr se mayus ho ke lauT aaya
purane sog base the nae makanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.