Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham-e-dil sham-e-tamanna na jala man bhi ja

Shahryar

sham-e-dil sham-e-tamanna na jala man bhi ja

Shahryar

MORE BYShahryar

    sham-e-dil sham-e-tamannā na jalā maan bhī

    tez āñdhī hai muḳhālif hai havā maan bhī

    aisī duniyā meñ junūñ aise zamāne meñ vafā

    is tarah ḳhud ko tamāshā na banā maan bhī

    kab talak saath tirā deñge ye dhuñdle saa.e

    dekh nādān na ban hosh meñ aa maan bhī

    zindagī meñ abhī ḳhushiyāñ bhī haiñ ra.anā.ī bhī

    zindagī se abhī dāman na chhuḌā maan bhī

    shahr phir shahr hai yaañ to bahal jaatā hai

    shahr ko chhoḌ ke sahrā ko na maan bhī

    sham-e-dil sham-e-tamanna na jala man bhi ja

    tez aandhi hai muKHalif hai hawa man bhi ja

    aisi duniya mein junun aise zamane mein wafa

    is tarah KHud ko tamasha na bana man bhi ja

    kab talak sath tera denge ye dhundle sae

    dekh nadan na ban hosh mein aa man bhi ja

    zindagi mein abhi KHushiyan bhi hain ranai bhi

    zindagi se abhi daman na chhuDa man bhi ja

    shahr phir shahr hai yan ji to bahal jata hai

    shahr ko chhoD ke sahra ko na ja man bhi ja

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now