Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein KHud se mohabbat nahin ki ja sakti

Jamal Ehsani

ishq mein KHud se mohabbat nahin ki ja sakti

Jamal Ehsani

MORE BYJamal Ehsani

    ishq meñ ḳhud se mohabbat nahīñ saktī

    par kisī ko ye nasīhat nahīñ saktī

    kunjiyāñ ḳhāna-e-ham-sāya rakhte kyuuñ ho

    apne jab ghar hifāzat nahīñ saktī

    kuchh to mushkil hai bahut kār-e-mohabbat aur kuchh

    yaar logoñ se mashaqqat nahīñ saktī

    tā.ir-e-yād ko kam thā shajar-e-dil varna

    be-sabab tark-e-sukūnat nahīñ saktī

    ik safar meñ koī do baar nahīñ luT saktā

    ab dobāra tirī chāhat nahīñ saktī

    koī ho bhī to zarā chāhne vaalā terā

    raah chaltoñ se raqābat nahīñ saktī

    āsmāñ par bhī jahāñ log jhagaḌte hoñ 'jamāl'

    us zamīñ ke liye hijrat nahīñ saktī

    ishq mein KHud se mohabbat nahin ki ja sakti

    par kisi ko ye nasihat nahin ki ja sakti

    kunjiyan KHana-e-ham-saya ki rakhte kyun ho

    apne jab ghar ki hifazat nahin ki ja sakti

    kuchh to mushkil hai bahut kar-e-mohabbat aur kuchh

    yar logon se mashaqqat nahin ki ja sakti

    tair-e-yaad ko kam tha shajar-e-dil warna

    be-sabab tark-e-sukunat nahin ki ja sakti

    ek safar mein koi do bar nahin luT sakta

    ab dobara teri chahat nahin ki ja sakti

    koi ho bhi to zara chahne wala tera

    rah chalton se raqabat nahin ki ja sakti

    aasman par bhi jahan log jhagaDte hon 'jamal'

    us zamin ke liye hijrat nahin ki ja sakti

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Jamal Ehsani

    Jamal Ehsani

    RECITATIONS

    Jamal Ehsani

    Jamal Ehsani,

    Jamal Ehsani

    ishq mein KHud se mohabbat nahin ki ja sakti Jamal Ehsani

    Source :
    • Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 27)
    • Author :Jamal Ehsani
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now