Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

numayan donon jaanib shan-e-fitrat hoti jati hai

Shakeel Badayuni

numayan donon jaanib shan-e-fitrat hoti jati hai

Shakeel Badayuni

numāyāñ donoñ jānib shān-e-fitrat hotī jaatī hai

unheñ mujh se mujhe un se mohabbat hotī jaatī hai

mirī shām-e-alam sub.h-e-masarrat hotī jaatī hai

ki har lahza tire milne sūrat hotī jaatī hai

nigāheñ muztarib utrā huā chehra zabāñ sākit

jo thī apnī vahī ab un hālat hotī jaatī hai

na kyuuñ hoñ is adā par ishq ḳhuddāriyāñ sadqe

unheñ rūdād-e-ġham sun sun ke hairat hotī jaatī hai

kahīñ rāz-e-mohabbat āsmāñ par bhī na khul jaa.e

mujhe āh-o-fuġhāñ karne aadat hotī jaatī hai

mohabbat meñ milte haiñ shikāyat ke maze paiham

mohabbat jitnī baḌhtī hai shikāyat hotī jaatī hai

'shakīl' un judā.ī meñ hai lutf-e-zindagī zaa.il

nazar be-kaif afsurda tabī.at hotī jaatī hai

numayan donon jaanib shan-e-fitrat hoti jati hai

unhen mujh se mujhe un se mohabbat hoti jati hai

meri sham-e-alam subh-e-masarrat hoti jati hai

ki har lahza tere milne ki surat hoti jati hai

nigahen muztarib utra hua chehra zaban sakit

jo thi apni wahi ab un ki haalat hoti jati hai

na kyun hon is ada par ishq ki KHuddariyan sadqe

unhen rudad-e-gham sun sun ke hairat hoti jati hai

kahin raaz-e-mohabbat aasman par bhi na khul jae

mujhe aah-o-fughan karne ki aadat hoti jati hai

mohabbat hi mein milte hain shikayat ke maze paiham

mohabbat jitni baDhti hai shikayat hoti jati hai

'shakil' un ki judai mein hai lutf-e-zindagi zail

nazar be-kaif afsurda tabiat hoti jati hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now