Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rasta koi safar koi masafat koi

Asad Badayuni

rasta koi safar koi masafat koi

Asad Badayuni

rāsta koī safar koī masāfat koī

phir ḳharābī atā ho mujhe sūrat koī

saare dariyā haiñ yahāñ mauj meñ apnī apnī

mire sahrā ko nahīñ in se shikāyat koī

jam ga.ī dhuul mulāqāt ke ā.īnoñ par

mujh ko us na use merī zarūrat koī

maiñ ne duniyā ko sadā dil ke barābar samjhā

kaam aa.ī na buzurgoñ nasīhat koī

surma.ī shaam ke hamrāh parindoñ qatār

dekhne vāloñ āñkhoñ ko bashārat koī

bujhtī āñkhoñ ko kisī nuur ke dariyā talāsh

TūTtī saañs ko zanjīr zarūrat koī

ne har naḳhl meñ kuchh zauq-e-numū rakkhā hai

ai ḳhudā mere panapne alāmat koī

rasta koi safar koi masafat koi

phir KHarabi ki ata ho mujhe surat koi

sare dariya hain yahan mauj mein apni apni

mere sahra ko nahin in se shikayat koi

jam gai dhul mulaqat ke aainon par

mujh ko us ki na use meri zarurat koi

main ne duniya ko sada dil ke barabar samjha

kaam aai na buzurgon ki nasihat koi

surmai sham ke hamrah parindon ki qatar

dekhne walon ki aankhon ko bashaarat koi

bujhti aankhon ko kisi nur ke dariya ki talash

TuTti sans ko zanjir zarurat koi

tu ne har naKHl mein kuchh zauq-e-numu rakkha hai

ai KHuda mere panapne ki alamat koi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now