karb mein qahqahe lagata hun
karb meñ qahqahe lagātā huuñ
itnī vahshat kahāñ se laatā huuñ
dhyān-dariyā meñ paḌ rahe haiñ bhañvar
tairtā huuñ to Duub jaatā huuñ
uTh to aayā huuñ us kī mahfil se
dekhiye kitnī duur jaatā huuñ
vo kahāñ yaad kartā hai mujh ko
ye diyā sirf maiñ jalātā huuñ
jast bhartā huuñ jab tasavvur kī
rut kī dīvār phāñd jaatā huuñ
dhuup bhī taak meñ hai saaya bhī
dekhiye kis ke haath aatā huuñ
karb mein qahqahe lagata hun
itni wahshat kahan se lata hun
dhyan-dariya mein paD rahe hain bhanwar
tairta hun to Dub jata hun
uTh to aaya hun us ki mahfil se
dekhiye kitni dur jata hun
wo kahan yaad karta hai mujh ko
ye diya sirf main jalata hun
jast bharta hun jab tasawwur ki
rut ki diwar phand jata hun
dhup bhi tak mein hai saya bhi
dekhiye kis ke hath aata hun
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 107)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.