Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe kya KHabar mere be-KHabar mera silsila koi aur hai

Naseer Turabi

tujhe kya KHabar mere be-KHabar mera silsila koi aur hai

Naseer Turabi

MORE BYNaseer Turabi

    tujhe kyā ḳhabar mire be-ḳhabar mirā silsila koī aur hai

    jo mujhī ko mujh se baham kare vo gurez-pā koī aur hai

    mire mausamoñ ke bhī taur the mire barg-o-bār aur the

    magar ab ravish hai alag koī magar ab havā koī aur hai

    yahī shahr shahr-e-qarār hai to dil-e-shikasta ḳhair ho

    mirī aas hai kisī aur se mujhe pūchhtā koī aur hai

    ye vo mājrā-e-firāq hai jo mohabbatoñ se na khul sakā

    ki mohabbatoñ ke darmiyāñ sabab-e-jafā koī aur hai

    haiñ mohabbatoñ amānateñ yahī hijrateñ yahī qurbateñ

    diye bām-o-dar kisī aur ne to rahā basā koī aur hai

    ye fazā ke rañg khule khule isī pesh-o-pas ke haiñ silsile

    abhī ḳhush-navā koī aur thā abhī par-kushā koī aur hai

    dil-e-zūd-ranj na kar gila kisī garm o sard raqīb

    ruḳh-e-nā-sazā to hai rū-ba-rū pas-e-nā-sazā koī aur hai

    bahut aa.e hamdam o chāra-gar jo numūd-o-nām ke ho ga.e

    jo zavāl-e-ġham bhī ġham kare vo ḳhush-āshnā koī aur hai

    ye 'nasīr' shām-e-supurdagī udaas udaas raushnī

    ba-kanār-e-gul zarā dekhnā ye tumhī ho koī aur hai

    tujhe kya KHabar mere be-KHabar mera silsila koi aur hai

    jo mujhi ko mujh se baham kare wo gurez-pa koi aur hai

    mere mausamon ke bhi taur the mere barg-o-bar hi aur the

    magar ab rawish hai alag koi magar ab hawa koi aur hai

    yahi shahr shahr-e-qarar hai to dil-e-shikasta ki KHair ho

    meri aas hai kisi aur se mujhe puchhta koi aur hai

    ye wo majra-e-firaq hai jo mohabbaton se na khul saka

    ki mohabbaton hi ke darmiyan sabab-e-jafa koi aur hai

    hain mohabbaton ki amanaten yahi hijraten yahi qurbaten

    diye baam-o-dar kisi aur ne to raha basa koi aur hai

    ye faza ke rang khule khule isi pesh-o-pas ke hain silsile

    abhi KHush-nawa koi aur tha abhi par-kusha koi aur hai

    dil-e-zud-ranj na kar gila kisi garm o sard raqib ka

    ruKH-e-na-saza to hai ru-ba-ru pas-e-na-saza koi aur hai

    bahut aae hamdam o chaara-gar jo numud-o-nam ke ho gae

    jo zawal-e-gham ka bhi gham kare wo KHush-ashna koi aur hai

    ye 'nasir' sham-e-supurdagi ki udas udas si raushni

    ba-kanar-e-gul zara dekhna ye tumhi ho ya koi aur hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Naseer Turabi

    Naseer Turabi

    Naseer Turabi

    Naseer Turabi

    Naseer Turabi

    Naseer Turabi

    Source :
    • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 20.12.2015)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now