us se pahchan ho gai hogi
us se pahchān ho ga.ī hogī
raah āsān ho ga.ī hogī
jiine marne kā ek hī sāmān
us kī muskān ho ga.ī hogī
mo.āmla dil kā jab khulā hogā
aql hairān ho ga.ī hogī
log phirte haiñ maare maare kyuuñ
band dūkān ho ga.ī hogī
jis ne batlāyā be-libās use
āfat-e-jān ho ga.ī hogī
chāliye phir raah dekh lete haiñ
raah sunsān ho ga.ī hogī
us se pahchan ho gai hogi
rah aasan ho gai hogi
jine marne ka ek hi saman
us ki muskan ho gai hogi
moamla dil ka jab khula hoga
aql hairan ho gai hogi
log phirte hain mare mare kyun
band dukan ho gai hogi
jis ne batlaya be-libas use
aafat-e-jaan ho gai hogi
chaaliye phir rah dekh lete hain
rah sunsan ho gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.