wo ishq jo humse ruTh gaya ab us ka haal bataen kya
vo ishq jo ham se ruuTh gayā ab us kā haal batā.eñ kyā
koī mehr nahīñ koī qahr nahīñ phir sachchā sher sunā.eñ kyā
ik hijr jo ham ko lāhaq hai tā-der use dohrā.eñ kyā
vo zahr jo dil meñ utaar liyā phir us ke naaz uThā.eñ kyā
phir āñkheñ lahū se ḳhālī haiñ ye sham.eñ bujhne vaalī haiñ
ham ḳhud bhī kisī ke savālī haiñ is baat pe ham sharmā.eñ kyā
ik aag ġham-e-tanhā.ī kī jo saare badan meñ phail ga.ī
jab jism hī saarā jaltā ho phir dāman-e-dil ko bachā.eñ kyā
ham naġhma-sarā kuchh ġhazloñ ke ham sūrat-gar kuchh ḳhvāboñ ke
be-jazba-e-shauq sunā.eñ kyā koī ḳhvāb na ho to batā.eñ kyā
wo ishq jo hum se ruTh gaya ab us ka haal bataen kya
koi mehr nahin koi qahr nahin phir sachcha sher sunaen kya
ek hijr jo hum ko lahaq hai ta-der use dohraen kya
wo zahr jo dil mein utar liya phir us ke naz uThaen kya
phir aankhen lahu se KHali hain ye shamen bujhne wali hain
hum KHud bhi kisi ke sawali hain is baat pe hum sharmaen kya
ek aag gham-e-tanhai ki jo sare badan mein phail gai
jab jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachaen kya
hum naghma-sara kuchh ghazlon ke hum surat-gar kuchh KHwabon ke
be-jazba-e-shauq sunaen kya koi KHwab na ho to bataen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.