Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara si baat pe dil se bigaD aaya hun

Jamal Ehsani

zara si baat pe dil se bigaD aaya hun

Jamal Ehsani

zarā baat pe dil se bigāḌ aayā huuñ

banā banāyā huā ghar ujaaḌ aayā huuñ

vo intiqām ātish thī mere siine meñ

milā na koī to ḳhud ko pachhāḌ aayā huuñ

maiñ is jahān qismat badalne niklā thā

aur apne haath likkhā phaaḌ aayā huuñ

ab apne dūsre phere ke intizār meñ huuñ

jahāñ jahāñ mire dushman haiñ taaḌ aayā huuñ

maiñ us galī meñ gayā aur dil o nigāh samet

'jamāl' jeb meñ jo kuchh thā jhaaḌ aayā huuñ

zara si baat pe dil se bigaD aaya hun

bana banaya hua ghar ujaD aaya hun

wo intiqam ki aatish thi mere sine mein

mila na koi to KHud ko pachhaD aaya hun

main is jahan ki qismat badalne nikla tha

aur apne hath ka likkha hi phaD aaya hun

ab apne dusre phere ke intizar mein hun

jahan jahan mere dushman hain taD aaya hun

main us gali mein gaya aur dil o nigah samet

'jamal' jeb mein jo kuchh tha jhaD aaya hun

RECITATIONS

Javed Naseem

Javed Naseem,

00:00/00:00
Javed Naseem

zara si baat pe dil se bigaD aaya hun Javed Naseem

Source :
  • Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 64)
  • Author : Jamal Ehsani
  • Publication : Rekhta Publications (2018)
  • Edition : First

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now