Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

scent ki kajle ki aur ghaze ki gul-kari ke baad

Sarfaraz Shahid

scent ki kajle ki aur ghaze ki gul-kari ke baad

Sarfaraz Shahid

MORE BYSarfaraz Shahid

    scent kajle aur ġhāze gul-kārī ke ba.ad

    vo hasīñ lagtī hai lekin kitnī tayyārī ke ba.ad

    muddatoñ ke ba.ad us ko dekh kar aisā lagā

    jaise roza-dār hālat ho aftārī ke ba.ad

    bāñdh kar sahrā nazar aa.e hai yuuñ nausha-miyāñ

    jis tarah mujrim dikhā.ī de giraftārī ke ba.ad

    heroine pachpan baras ho chukīñ to ġham nahīñ

    ab gulū-kārī kareñgī vo adākārī ke ba.ad

    qaum ko bedār kar disco-music chheḌ kar

    jo bichārī so chukī hai rāg-darbārī ke ba.ad

    iid par masrūr haiñ donoñ miyāñ biivī bahut

    ik ḳharīdārī se pahle ik ḳharīdārī ke ba.ad

    aqd-e-sānī mazā pūchā to bole shaiḳh-jī

    aise lagtā hai chikan chakkhā hai tarkārī ke ba.ad

    rāh-e-ulfat traffic ho ki motor-way ho

    hādse hote haiñ 'shāhid' tez-raftārī ke ba.ad

    scent ki kajle ki aur ghaze ki gul-kari ke baad

    wo hasin lagti hai lekin kitni tayyari ke baad

    muddaton ke baad us ko dekh kar aisa laga

    jaise roza-dar ki haalat ho aftari ke baad

    bandh kar sahra nazar aae hai yun nausha-miyan

    jis tarah mujrim dikhai de giraftari ke baad

    heroine pachpan baras ki ho chukin to gham nahin

    ab gulu-kari karengi wo adakari ke baad

    qaum ko bedar kar disco-music chheD kar

    jo bichaari so chuki hai rag-darbari ke baad

    id par masrur hain donon miyan biwi bahut

    ek KHaridari se pahle ek KHaridari ke baad

    aqd-e-sani ka maza pucha to bole shaiKH-ji

    aise lagta hai chikan chakkha hai tarkari ke baad

    rah-e-ulfat ki traffic ho ki motor-way ki ho

    hadse hote hain 'shahid' tez-raftari ke baad

    Source :
    • Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 32)
    • Author : Hassan Abbasi
    • Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now