Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

eid ki KHaridari

Syed Mohammad Jafri

eid ki KHaridari

Syed Mohammad Jafri

MORE BYSyed Mohammad Jafri

    musalmāñ qarz le kar eid sāmāñ ḳharīdeñge

    jo daanā haiñ vo becheñge jo haiñ nādāñ ḳharīdeñge

    jo sayyāñ shauq se khā.eñ vo sivayyāñ ḳharīdeñge

    murkkab suud saudā ba-naqd-e-jāñ ḳharīdeñge

    musalmānoñ ke sar par jab mah-e-shavvāl aatā hai

    to un iqtisādiyāt meñ bhauñchāl aatā hai

    baham dast-o-garebāñ sales-man aur un ke gāhak haiñ

    vo ġhul barpā hai jaise naġhma-zan chauhaḌ meñ meñDak haiñ

    mizājan roza-dār-e-shām bārūd aur gandhak haiñ

    aur un meñ nazm aur zabt aur ravā-dārī yahāñ tak haiñ

    ki shiddat bhuuk aur pyaas aise miTāte haiñ

    ba-zo.am-e-roza abnā-e-vatan ko kaaT khāte haiñ

    jo mujh aise haiñ riñd un ko bhī zo.am-e-pārsā.ī hai

    aur is mazmūn ik dāvat-e-iftār aa.ī hai

    ki ik chālīs-sāla tifl roza-kushā.ī hai

    farishte is pe hairāñ dam-ba-ḳhud saarī ḳhudā.ī hai

    ḳhudāvand-e-do-ālam se vo ye bevpār karte haiñ

    jo rakkhā nahīñ roza use iftār karte haiñ

    miyāñ biivī chale bāzār ko bahr-e-ḳharīdārī

    miThā.ī phal sivayyāñ itr juute gosht tarkārī

    jo shai biivī ne vo dosh par shauhar ke de maarī

    vo be-chāra to ḳhachchar hai barā.e bār-bardārī

    ba-zor-e-qarz dūkānoñ pe itnā fazl-e-bārī hai

    ki is ghamsān meñ insān par insān taarī hai

    liyā biivī ne shauhar ke liye juutā jo arzāñ hai

    vo amrīkī madad tarah us ke sar pe ehsāñ hai

    ki is se fā.eda pahuñchegā us ko jis dūkāñ hai

    aur us shauhar juutā ḳhud usī ke sar pe raqsāñ hai

    ye sūrat dekh kar kahte haiñ akasr dil meñ bin-byāhe

    ''dil o diiñ naqd saaqī se gar saudā kiyā chāhe''

    jo silne ko diye kapḌe vo haiñ sab habs-e-bejā meñ

    ki darzī chhup gayā jab atlas-o-kamḳhvāb-o-dībā meñ

    to readymade kapḌoñ dukāneñ jhāñktā thā maiñ

    falak par qīmateñ laTkī huī thiiñ shāḳh-e-tūbā meñ

    mubārak maah ke andar hamīñ se naf.a-ḳhorī hai

    nahīñ hotā hai bātil jis se roza ye vo chorī hai

    ye sivayyāñ jo bal khātī huī me.ade meñ jā.eñgī

    siyāsī guththiyoñ ko aur uljhānā sikhā.eñgī

    hamārī aane vaalī nasl ke leader banā.eñgī

    jo leader ban chuke haiñ ebdo un ko karā.eñgī

    ''qad o gesū meñ qais-o-kohkan āzmā.ish hai

    jahāñ ham haiñ vahāñ dār-o-rasan āzmā.ish hai''

    mahīne bhar ke rozoñ ba.ad haq ne din ye dikhlāyā

    alal-ailān khāyā dostoñ ke saath jo paayā

    ye pahle Dar thā ham ko jhāñk kar dekhe na ham-sāya

    ba-juz ḳhauf-e-ḳhudā din meñ ba-zāhir kuchh na thā khāyā

    hasīnoñ mah-vashoñ ko ab sar-e-bāzār dekheñge

    ga.e vo din ki kahte the pas-az-iftār dekheñge

    musalman qarz le kar eid ka saman KHaridenge

    jo dana hain wo bechenge jo hain nadan KHaridenge

    jo sayyan shauq se khaen wo siwayyan KHaridenge

    murkkab sud ka sauda ba-naqd-e-jaan KHaridenge

    musalmanon ke sar par jab mah-e-shawwal aata hai

    to un ki iqtisadiyat mein bhaunchaal aata hai

    baham dast-o-gareban sales-man aur un ke gahak hain

    wo ghul barpa hai jaise naghma-zan chauhaD mein meinDak hain

    mizajan roza-dar-e-sham barud aur gandhak hain

    aur un mein nazm aur zabt aur rawa-dari yahan tak hain

    ki shiddat bhuk ki aur pyas ki aise miTate hain

    ba-zoam-e-roza abna-e-watan ko kaT khate hain

    jo mujh aise hain rind un ko bhi zoam-e-parsai hai

    aur is mazmun ki ek dawat-e-iftar aai hai

    ki ek chaalis-sala tifl ki roza-kushai hai

    farishte is pe hairan dam-ba-KHud sari KHudai hai

    KHudawand-e-do-alam se wo ye bewpar karte hain

    jo rakkha hi nahin roza use iftar karte hain

    miyan biwi chale bazar ko bahr-e-KHaridari

    miThai phal siwayyan itr jute gosht tarkari

    jo shai biwi ne li wo dosh par shauhar ke de mari

    wo be-chaara to KHachchar hai barae bar-bardari

    ba-zor-e-qarz dukanon pe itna fazl-e-bari hai

    ki is ghamsan mein insan par insan tari hai

    liya biwi ne shauhar ke liye juta jo arzan hai

    wo amriki madad ki tarah us ke sar pe ehsan hai

    ki is se faeda pahunchega us ko jis ki dukan hai

    aur us shauhar ka juta KHud usi ke sar pe raqsan hai

    ye surat dekh kar kahte hain akasr dil mein bin-byahe

    dil o din naqd la saqi se gar sauda kiya chahe

    jo silne ko diye kapDe wo hain sab habs-e-beja mein

    ki darzi chhup gaya jab atlas-o-kamKHwab-o-diba mein

    to readymade kapDon ki dukanen jhankta tha main

    falak par qimaten laTki hui thin shaKH-e-tuba mein

    mubarak mah ke andar hamin se nafa-KHori hai

    nahin hota hai baatil jis se roza ye wo chori hai

    ye siwayyan jo bal khati hui meade mein jaengi

    siyasi guththiyon ko aur uljhana sikhaengi

    hamari aane wali nasl ke leader banaengi

    jo leader ban chuke hain ebdo un ko karaengi

    qad o gesu mein qais-o-kohkan ki aazmaish hai

    jahan hum hain wahan dar-o-rasan ki aazmaish hai

    mahine bhar ke rozon baad haq ne din ye dikhlaya

    alal-ailan khaya doston ke sath jo paya

    ye pahle Dar tha hum ko jhank kar dekhe na ham-saya

    ba-juz KHauf-e-KHuda din mein ba-zahir kuchh na tha khaya

    hasinon mah-washon ko ab sar-e-bazar dekhenge

    gae wo din ki kahte the pas-az-iftar dekhenge

    Source :
    • Book : Shokhi-e-Tahrir (Pg. 99)
    • Author : Sayed Mohammad Jafri
    • Publication : Malik Norani, Maktaba Daniyal Viktoria Chaimber, 20, Abdullah Haroon Road, Sadar Krachi (1985)
    • Edition : 1985

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now