leader se KHitab
agar nahīñ hai koī kaam kaam paidā kar
kahīñ se DhūñDh ke mīnā-o-jām paidā kar
na phañsnā gardish-e-lail-o-nahār meñ zinhār
tū roz ek na.ī sub.h-o-shām paidā kar
tū har tarah ke sabhī kaam le ġhulāmoñ se
ġhulām gar nahīñ milte ġhulām paidā kar
diloñ meñ tiir kī mānind jo utar jaa.e
talāsh kar ke kuchh aisā kalām paidā kar
sunā ke naam se apne ḳhud-e'timādī se
asātiza kī safoñ meñ maqām paidā kar
tire itaab se Darte haiñ jaise ghar vaale
ma.āshre meñ bhī aisā maqām paidā kar
zamāna aa ke tire dar pe sar jhukā.egā
kisī tarah se siyāsat meñ naam paidā kar
jo aarzī hī sahī chand rāhateñ le kar
zamīr bech deñ aise avaam paidā kar
raheñgī do se ziyāda bhī jis meñ talvāreñ
kisī tarah se ik aisī niyām paidā kar
lagā ke paan meñ khaa.e to qaum so jaa.e
milā ke bhañg nayā ik qivām paidā kar
tū chāhtā hai tirī 'ḳhvāh-maḳhvāh' shohrat ho
ḳhudī ko bech amīrī meñ naam paidā kar
agar nahin hai koi kaam kaam paida kar
kahin se DhunDh ke mina-o-jam paida kar
na phansna gardish-e-lail-o-nahaar mein zinhaar
tu roz ek nai subh-o-sham paida kar
tu har tarah ke sabhi kaam le ghulamon se
ghulam gar nahin milte ghulam paida kar
dilon mein tir ki manind jo utar jae
talash kar ke kuchh aisa kalam paida kar
suna ke nam se apne KHud-e'timadi se
asatiza ki safon mein maqam paida kar
tere itab se Darte hain jaise ghar wale
maashre mein bhi aisa maqam paida kar
zamana aa ke tere dar pe sar jhukaega
kisi tarah se siyasat mein nam paida kar
jo aarzi hi sahi chand rahaten le kar
zamir bech den aise awam paida kar
rahengi do se ziyaada bhi jis mein talwaren
kisi tarah se ek aisi niyam paida kar
laga ke pan mein khae to qaum so jae
mila ke bhang naya ek qiwam paida kar
tu chahta hai teri 'KHwah-maKHwah' shohrat ho
KHudi ko bech amiri mein nam paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.