ghar-damad ki mushkilen
jaanÄ thÄ sasurÄl se mushkil rahne meƱ rusvÄ.Ä« thÄ«
ham ne tere jahÄƱ meƱ maulÄ kaisÄ« qismat paa.Ä« thÄ«
saas susar kÄ« įø³hidmat meƱ hameƱ saarÄ din lag jaatÄ thÄ
phir bhÄ« ham ko biivÄ« ne har baat pe DaaƱT pilÄ.Ä« thÄ«
ham hÄ« the taqdÄ«r ke maare jo is ghar meƱ biyÄhe ga.e
varna bahut se dÄmÄdoƱ kÄ« lottery bhÄ« nikal aa.Ä« thÄ«
ab rote haiƱ us din ko jab haaƱ kah kar muskÄ.e the
kyÄ ma.alÅ«m thÄ us muskÄn se ham ne Ä”hulÄmÄ« paa.Ä« thÄ«
ban ga.e ghar-dÄmÄd to phir bhalÄ kaun hameƱ izzat detÄ
saas piTÄ.Ä« kar ke ga.Ä« to susar ne DaaƱT pilÄ.Ä« thÄ«
izzat-e-nafs kÄ saudÄ kar ke įø³huun ke ghūñT piye har dam
bhÄ«gÄ« billÄ« ban kar ham ne apnÄ« umr bitÄ.Ä« thÄ«
jaana tha sasural se mushkil rahne mein ruswai thi
hum ne tere jahan mein maula kaisi qismat pai thi
sas susar ki KHidmat mein hamein sara din lag jata tha
phir bhi hum ko biwi ne har baat pe DanT pilai thi
hum hi the taqdir ke mare jo is ghar mein biyahe gae
warna bahut se damadon ki lottery bhi nikal aai thi
ab rote hain us din ko jab han kah kar muskae the
kya malum tha us muskan se hum ne ghulami pai thi
ban gae ghar-damad to phir bhala kaun hamein izzat deta
sas piTai kar ke gai to susar ne DanT pilai thi
izzat-e-nafs ka sauda kar ke KHun ke ghunT piye har dam
bhigi billi ban kar hum ne apni umr bitai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.