Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek bachcha aur jugnu ki baaten

Ismail Merathi

ek bachcha aur jugnu ki baaten

Ismail Merathi

sunā.ūñ tumheñ baat ik raat

ki vo raat añdherī thī barsāt

chamakne se jugnū ke thā ik samāñ

havā par uḌiiñ jaise chiñgāriyāñ

paḌī ek bachche un pe nazar

pakaḌ liyā ek ko dauḌ kar

chamakdār kiiḌā jo bhāyā use

to Topī meñ jhaT-paT chhupāyā use

vo jham jham chamaktā idhar se udhar

phirā koī rasta na paayā magar

to ġhamgīn qaidī ne iltijā

jugnū

ai chhoTe shikārī mujhe kar rihā

ḳhudā ke liye mujhe chhoḌ de

merī qaid ke jaal ko toḌ de

bachcha

karūñgā na āzād us vaqt tak

ki maiñ dekh luuñ din meñ terī chamak

jugnū

chamak merī din meñ na dekhoge tum

ujāle meñ ho jā.egī vo to gum

bachcha

are chhoTe kiiḌe na de dam mujhe

ki hai vāqafiyyat abhī kam tujhe

ujāle meñ din ke khulegā kamāl

ki itne se kiiḌe meñ kyā hai kamāl

dhuāñ hai na sho.ala na garmī na aañch

chamakne tere karūñgā maiñ jāñch

jugnū

ye qudrat kārīgarī hai janāb

ki zarra ko chamkā.e juuñ āftāb

mujhe hai is vāste ye chamak

ki tum dekh kar mujh ko jaao ThiThak

na alhaḌ-pane se karo pā.emāl

sañbhal kar chalo aadmī chaal

sunaun tumhein baat ek raat ki

ki wo raat andheri thi barsat ki

chamakne se jugnu ke tha ek saman

hawa par uDin jaise chingariyan

paDi ek bachche ki un pe nazar

pakaD hi liya ek ko dauD kar

chamakdar kiDa jo bhaya use

to Topi mein jhaT-paT chhupaya use

wo jham jham chamakta idhar se udhar

phira koi rasta na paya magar

to ghamgin qaidi ne ki iltija

jugnu

ai chhoTe shikari mujhe kar riha

KHuda ke liye tu mujhe chhoD de

meri qaid ke jal ko toD de

bachcha

karunga na aazad us waqt tak

ki main dekh lun din mein teri chamak

jugnu

chamak meri din mein na dekhoge tum

ujale mein ho jaegi wo to gum

bachcha

are chhoTe kiDe na de dam mujhe

ki hai waqafiyyat abhi kam tujhe

ujale mein din ke khulega kamal

ki itne se kiDe mein kya hai kamal

dhuan hai na shoala na garmi na aanch

chamakne ki tere karunga main jaanch

jugnu

ye qudrat ki karigari hai janab

ki zarra ko chamkae jun aaftab

mujhe di hai is waste ye chamak

ki tum dekh kar mujh ko jao ThiThak

na alhaD-pane se karo paemal

sanbhal kar chalo aadmi ki si chaal

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now