vo chāhte yahī the aaj baat ḳhatm ho
so baat ḳhatm yuuñ huī ki ḳhatm ho ga.ī
wo chahte yahi the aaj baat KHatm ho
so baat KHatm yun hui ki KHatm ho gai
-
Tag : Relationship
ye kyā huā hai koī faisla nahīñ hotā
ki mere haath meñ jugnū hai yā sitāra hai
ye kya hua hai koi faisla nahin hota
ki mere hath mein jugnu hai ya sitara hai
merī haamī kā fā.eda le lo
is se pahle ki maiñ mukar jā.ūñ
meri hami ka faeda le lo
is se pahle ki main mukar jaun
bas sunāte ho faisla apnā
tum kabhī mashvara nahīñ karte
bas sunate ho faisla apna
tum kabhi mashwara nahin karte
-
Tag : Mashwara