pichhle saal inhī dinoñ
jab bahār ke parind
gā rahe the zamzame
aa.ī thī usī tarah
apne bhā.iyoñ kī yaad
aur ab ke saal bhī
jab fasurda ho chuke
phuul shāḳh shāḳh ke
lauT aa.ī hai vo yaad
nadiyoñ kā aab sabz
siskiyāñ sī bhartā hai
aur phir chahār-sū
chhā chalā siyāh abr
sau baras to jī chukā
maiñ jo aur bhī jiyā
shahr chang aan kī
yaad jab bhī aa.egī
dil ko chiir jā.egī
pichhle sal inhi dinon
jab bahaar ke parind
ga rahe the zamzame
aai thi usi tarah
apne bhaiyon ki yaad
aur ab ke sal bhi
jab fasurda ho chuke
phul shaKH shaKH ke
lauT aai hai wo yaad
nadiyon ka aab sabz
siskiyan si bharta hai
aur phir chahaar-su
chha chala siyah abr
sau baras to ji chuka
main jo aur bhi jiya
shahr chang aan ki
yaad jab bhi aaegi
dil ko chir jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.