Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chho.De hu.e ghar kaa giit

Translation Available By: Saleem-ur-Rahman

Pablo Neruda

Pablo Neruda

chho.De hu.e ghar kaa giit

Pablo Neruda

MORE BYPablo Neruda

    lo ab alvidā'

    mere ghar

    kyā mā'lūm ham kab mileñge

    kal kisī aur din

    kuchh dinoñ baad bahut dinoñ baad

    ek aur safar darpesh hai

    lekin is dafa tujh se zarūr kahūñgā

    ki ham ne tere patthar ke siine ko

    bahut chāhā hai

    ne kitnī saḳhāvat se

    bāvarchī-ḳhāne aag se garmī se navāzā hai

    terī chhat

    jis se bārish būñdeñ

    añgūroñ tarah Tapaktī haiñ

    āsmān se girtī huī mausīqī

    jab ham terī khiḌkiyāñ band karte haiñ

    dam ghoñTne vaalī be-vaqt raat

    tere har kamre par chhā jā.egī

    añdhere meñ Duubā huā

    phir bhī jiitā jāgtā rahtā hai

    vaqt tere sar par mañDlātā rahtā hai

    aur cell gīlāhaT āhista āhista terī ruuh ko khātī chalī jaatī hai

    kisī vaqt

    koī chūhā kuchh katartā hai kāġhaz sarakte haiñ

    ek malfūf sarsarāhaT

    ek bhaTkā huā kiiḌā

    thak kar kisī dīvār ke saath lag jaatā hai

    aur jab bārish aatī hai

    to is tanhā.ī meñ

    chhat ke Tapakne āvāz

    insānī āvāz tarah lagtī hai

    jaise koī ro rahā ho

    faqat sāyoñ ko

    muqaffal gharoñ ke raaz 'alam hai

    āvāra havā ko

    lo ab alwida'

    mere ghar

    kya ma'lum hum kab milenge

    kal ya kisi aur din

    kuchh dinon baad ya bahut dinon baad

    ek aur safar darpesh hai

    lekin is dafa hi tujh se zarur kahunga

    ki hum ne tere patthar ke sine ko

    bahut chaha hai

    tu ne kitni saKHawat se

    bawarchi-KHane ki aag se garmi se nawaza hai

    teri chhat

    jis se barish ki bunden

    anguron ki tarah Tapakti hain

    aasman se girti hui mausiqi

    jab hum teri khiDkiyan band karte hain

    dam ghonTne wali be-waqt raat

    tere har kamre par chha jaegi

    andhere mein Duba hua

    tu phir bhi jita jagta rahta hai

    waqt tere sar par manDlata rahta hai

    aur cell ki gilahaT aahista aahista teri ruh ko khati chali jati hai

    kisi waqt

    koi chuha kuchh katarta hai kaghaz sarakte hain

    ek malfuf sarsarahaT

    ek bhaTka hua kiDa

    thak kar kisi diwar ke sath lag jata hai

    aur jab barish aati hai

    to is tanhai mein

    chhat ke Tapakne ki aawaz

    insani aawaz ki tarah lagti hai

    jaise koi ro raha ho

    faqat sayon ko hi

    muqaffal gharon ke raaz ka 'alam hai

    ya aawara hawa ko

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now