aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
is sādgī pe kaun na mar jaa.e ai ḳhudā
laḌte haiñ aur haath meñ talvār bhī nahīñ
is sadgi pe kaun na mar jae ai KHuda
laDte hain aur hath mein talwar bhi nahin
dil saaf ho kis tarah ki insāf nahīñ hai
insāf ho kis tarah ki dil saaf nahīñ hai
dil saf ho kis tarah ki insaf nahin hai
insaf ho kis tarah ki dil saf nahin hai
vo TūTte hue rishtoñ kā husn-e-āḳhir thā
ki chup sī lag ga.ī donoñ ko baat karte hue
wo TuTte hue rishton ka husn-e-aKHir tha
ki chup si lag gai donon ko baat karte hue
pahle is meñ ik adā thī naaz thā andāz thā
rūThnā ab to tirī aadat meñ shāmil ho gayā
pahle is mein ek ada thi naz tha andaz tha
ruThna ab to teri aadat mein shamil ho gaya
ek din donoñ ne apnī haar maanī ek saath
ek din jis se jhagaḌte the usī ke ho ga.e
ek din donon ne apni haar mani ek sath
ek din jis se jhagaDte the usi ke ho gae
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books