Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Raees Rampuri's Photo'

Raees Rampuri

1930

Raees Rampuri

Sher-o-Shayari 5

tum ne hañste mujhe dekhā hai tumheñ kyā ma.alūm

karnī paḌtī hai adā kitnī hañsī qīmat

tum ne hanste mujhe dekha hai tumhein kya malum

karni paDti hai ada kitni hansi ki qimat

  • Share this

sab ke liye savāl ye kab hai ki kyā na ho

un ko to mujh se zid hai ki merā kahā na ho

sab ke liye sawal ye kab hai ki kya na ho

un ko to mujh se zid hai ki mera kaha na ho

  • Share this

chaudhvīñ chāñd phūloñ mahak ThanDī havā

raat us kāfir adā aisī yaad aa.ī ki bas

chaudhwin ka chand phulon ki mahak ThanDi hawa

raat us kafir ada ki aisi yaad aai ki bas

aaj vahshat se mirī ghabrā ga.e vo bhī 'ra.īs'

aaj to ḳhud par mujhe itnī hañsī aa.ī ki bas

aaj wahshat se meri ghabra gae wo bhi 'rais'

aaj to KHud par mujhe itni hansi aai ki bas

ab bhī koh-e-tūr par goyā zabān-e-hāl se

hai koī aur us ke jalve tamannā.ī ki bas

ab bhi koh-e-tur par goya zaban-e-haal se

hai koi aur us ke jalwe ka tamannai ki bas

Ghazal 20

Naat 1

 

BOOKS 12

Recitation

Speak Now