Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Salam Sandelvi's Photo'

Salam Sandelvi

1919 - 2000 | Gorakhpur, India

Salam Sandelvi

Sher-o-Shayari 21

sau baar aa.ī hoñToñ pe jhūTī hañsī magar

ik baar bhī na dil se kabhī muskurā sake

sau bar aai honTon pe jhuTi hansi magar

ek bar bhi na dil se kabhi muskura sake

  • Share this

ḳhushī ke phuul khile the tumhāre saath kabhī

phir is ke ba.ad na aayā bahār mausam

KHushi ke phul khile the tumhaare sath kabhi

phir is ke baad na aaya bahaar ka mausam

  • Share this

shabnam ne ro ke zarā halkā to kar liyā

ġham us pūchhiye jo na aañsū bahā sake

shabnam ne ro ke ji zara halka to kar liya

gham us ka puchhiye jo na aansu baha sake

  • Share this

kaTegī kaise gul-e-nau zindagī yā-rab

ki is ġharīb ḳhānoñ meñ ghar abhī se hai

kaTegi kaise gul-e-nau ki zindagi ya-rab

ki is gharib ka KHanon mein ghar abhi se hai

  • Share this

rah-e-hayāt chamak uTThe kahkashāñ tarah

agar charāġh-e-mohabbat koī jalā ke chale

rah-e-hayat chamak uTThe kahkashan ki tarah

agar charagh-e-mohabbat koi jala ke chale

  • Share this

Ghazal 3

 

Nazm 13

Geet 2

 

BOOKS 31

More Authors From "Gorakhpur"

 

Recitation

Speak Now