Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj phir shab ka hawala teri jaanib Thahre

Abdul Ahad Saaz

aaj phir shab ka hawala teri jaanib Thahre

Abdul Ahad Saaz

aaj phir shab havāla tirī jānib Thahre

chāñd mazmūn bane sharh-e-kavākib Thahre

dād-o-tahsīn bolī nahīñ tafhīm naqd

shart kuchh to mire bikne munāsib Thahre

nek guzre mirī shab sidq-e-badan se tere

ġham nahīñ rābta-e-sub.h jo kāzib Thahre

muḳhlisī bā.is-e-taz.hīk zehānat dushman

ye mahāsin to mire haq meñ ma.ā.ib Thahre

maiñ huuñ ḳhud se mutaqābil mutabādil mutazād

ruuh Thahre mirā unvāñ kabhī qālib Thahre

baaT dil ke judā hoñ to bhalā kaun āḳhir

kis ham-vazn ba-mīzān-e-matālib Thahre

aaj phir shab ka hawala teri jaanib Thahre

chand mazmun bane sharh-e-kawakib Thahre

dad-o-tahsin ki boli nahin tafhim ka naqd

shart kuchh to mere bikne ki munasib Thahre

nek guzre meri shab sidq-e-badan se tere

gham nahin rabta-e-subh jo kazib Thahre

muKHlisi bais-e-tazhik zehanat dushman

ye mahasin to mere haq mein maaib Thahre

main hun KHud se mutaqabil mutabaadil mutazad

ruh Thahre mera unwan kabhi qalib Thahre

baT hi dil ke juda hon to bhala kaun aaKHir

kis ka ham-wazn ba-mizan-e-matalib Thahre

Source :
  • Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 132)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now