aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhen yun barsin pairahan bhig gaya

Musavvir Sabzwari

aankhen yun barsin pairahan bhig gaya

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    āñkheñ yuuñ barsīñ pairāhan bhiig gayā

    tere dhyān meñ saarā sāvan bhiig gayā

    ḳhushk mahāzo baḌh ke mujhe salāmī do

    mere lahū chhīñToñ se ran bhiig gayā

    tum ne mai chuur chuur maiñ nashshe meñ

    kis ne nichoḌā kis dāman bhiig gayā

    kyā namnāk hañsī dīvār-o-dar par thī

    bachā khuchā sab rañg o roġhan bhiig gayā

    sajnī āñkhoñ meñ chhup kar jab jhāñkā

    bin holī khele sājan bhiig gayā

    aankhen yun barsin pairahan bhig gaya

    tere dhyan mein sara sawan bhig gaya

    KHushk mahazo baDh ke mujhe salami do

    mere lahu ki chhinTon se ran bhig gaya

    tum ne mai pi chur chur main nashshe mein

    kis ne nichoDa kis ka daman bhig gaya

    kya namnak hansi diwar-o-dar par thi

    bacha khucha sab rang o roghan bhig gaya

    sajni ki aankhon mein chhup kar jab jhanka

    bin holi khele hi sajan bhig gaya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aankhen yun barsin pairahan bhig gaya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now