Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap shayad bhul baiThe hain yahan main bhi to hun

Nusrat Mehdi

aap shayad bhul baiThe hain yahan main bhi to hun

Nusrat Mehdi

MORE BYNusrat Mehdi

    aap shāyad bhuul baiThe haiñ yahāñ maiñ bhī to huuñ

    is zamīñ aur āsmāñ ke darmiyāñ maiñ bhī to huuñ

    haisiyat kuchh bhī nahīñ bas ek tinke tarah

    fikr-o-fan ke is samundar meñ ravāñ maiñ bhī to huuñ

    be-sabab be-jurm patthar shāhzādī ban ga.ī

    bas yahī thī ik sadā-e-be-zabāñ maiñ bhī to huuñ

    inkisārī pā.edārī sab ravā-dārī ga.ī

    jab takabbur ne kahā baḌh kar myaañ maiñ bhī to huuñ

    aaj is andāz se tum ne mujhe āvāz

    yak-ba-yak mujh ko ḳhayāl aayā ki haañ maiñ bhī to huuñ

    tere sheroñ se mujhe mansūb kar dete haiñ log

    naaz hai mujh ko jahāñ hai vahāñ maiñ bhī to huuñ

    rūThnā kyā hai chalo maiñ manā lā.ūñ use

    be-ruḳhī se us 'nusrat' nīm-jāñ maiñ bhī to huuñ

    aap shayad bhul baiThe hain yahan main bhi to hun

    is zamin aur aasman ke darmiyan main bhi to hun

    haisiyat kuchh bhi nahin bas ek tinke ki tarah

    fikr-o-fan ke is samundar mein rawan main bhi to hun

    be-sabab be-jurm patthar shahzadi ban gai

    bas yahi thi ek sada-e-be-zaban main bhi to hun

    inkisari paedari sab rawa-dari gai

    jab takabbur ne kaha baDh kar myan main bhi to hun

    aaj is andaz se tum ne mujhe aawaz di

    yak-ba-yak mujh ko KHayal aaya ki han main bhi to hun

    tere sheron se mujhe mansub kar dete hain log

    naz hai mujh ko jahan tu hai wahan main bhi to hun

    ruThna kya hai chalo main hi mana laun use

    be-ruKHi se us ki 'nusrat' nim-jaan main bhi to hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now