Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ada hua na qarz aur wajud KHatm ho gaya

Faryad Aazar

ada hua na qarz aur wajud KHatm ho gaya

Faryad Aazar

adā huā na qarz aur vajūd ḳhatm ho gayā

maiñ zindagī dete dete suud ḳhatm ho gayā

na jaane kaun adā burī lagī thī ruuh ko

badan phir tamām khel-kūd ḳhatm ho gayā

muāhade zamīr se to kar liye ga.e magar

masarratoñ daura-e-vafūd ḳhatm ho gayā

badan āstīn meñ ye ruuh saañp ban ga.ī

vajūd yaqīñ huā vajūd ḳhatm ho gayā

bas ik nigāh Daal kar maiñ chhup gayā ḳhalāoñ meñ

phir is ke ba.ad barf jumūd ḳhatm ho gayā

majāz sunahrā husn chhā gayā nigāh par

khulī jo aañkh jalva-e-shuhūd ḳhatm ho gayā

ada hua na qarz aur wajud KHatm ho gaya

main zindagi ka dete dete sud KHatm ho gaya

na jaane kaun si ada buri lagi thi ruh ko

badan ka phir tamam khel-kud KHatm ho gaya

muahade zamir se to kar liye gae magar

masarraton ka daura-e-wafud KHatm ho gaya

badan ki aastin mein ye ruh sanp ban gai

wajud ka yaqin hua wajud KHatm ho gaya

bas ek nigah Dal kar main chhup gaya KHalaon mein

phir is ke baad barf ka jumud KHatm ho gaya

majaz ka sunahra husn chha gaya nigah par

khuli jo aankh jalwa-e-shuhud KHatm ho gaya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now