Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agarche haal o hawadis ki hukmarani hai

Mohammad Yaqoob Aamir

agarche haal o hawadis ki hukmarani hai

Mohammad Yaqoob Aamir

MORE BYMohammad Yaqoob Aamir

    agarche haal o havādis hukmarānī hai

    har ek shaḳhs apnī bhī ik kahānī hai

    maiñ aaj kal ke tasavvur se shād-kām to huuñ

    ye aur baat ki do pal zindagānī hai

    nishān raah ke dekhe to ye ḳhayāl aayā

    mirā qadam bhī kisī ke liye nishānī hai

    ḳhizāñ nahīñ hai ba-juz ik taraddud-e-bejā

    chaman khilāo agar zauq-e-bāġhbānī hai

    kabhī na haal huā merā tere hasb-e-mizāj

    na samjhā ki yahī terī bad-gumānī hai

    na samjhe ashk-fishānī ko koī māyūsī

    hai dil meñ aag agar aañkh meñ bhī paanī hai

    milā to un milā saath ham ko ai 'āmir'

    na dauḌnā hai jinheñ aur na choT khānī hai

    agarche haal o hawadis ki hukmarani hai

    har ek shaKHs ki apni bhi ek kahani hai

    main aaj kal ke tasawwur se shad-kaam to hun

    ye aur baat ki do pal ki zindagani hai

    nishan rah ke dekhe to ye KHayal aaya

    mera qadam bhi kisi ke liye nishani hai

    KHizan nahin hai ba-juz ek taraddud-e-beja

    chaman khilao agar zauq-e-baghbani hai

    kabhi na haal hua mera tere hasb-e-mizaj

    na samjha tu ki yahi teri bad-gumani hai

    na samjhe ashk-fishani ko koi mayusi

    hai dil mein aag agar aankh mein bhi pani hai

    mila to un ka mila sath hum ko ai 'amir'

    na dauDna hai jinhen aur na choT khani hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now